2205 poems
Us Ki Hasrat Hai Jisay Dil Se Mita Bhi Nah Sakun Dhondne Is Ko Chala Hon Jisay Pa Bhi Nah SakunDaal Ke Khaak Mere Khoon Pay Qaatil Naay Kaha Kuch Yeh Mehndi Nahi Meri Ke Chhupa Bhi Nah Sakun
Tu Woh Bahhar Jo Apne Chaman Mein Aawara Mein Woh Chaman Jo Bahaaraan Ke Intezaar Mein Hai
Woh Agar Aa Nah Sakay Mout Hi Aayi Hoti Hijar Mein Koi To Gam-Khvar Hamara Hota
Phir Wohi Lambi Dopehren Hain Phir Wohi Dil Ki Haalat Hai Bahar Kitna Sannata Hai Andar Kitni Wehshat Hai
Kher Badnaam To Pehlay Bhi Bohat Thay Lekin Tujh Se Milna Tha Ke Par Lag Gaye Ruswai Ko
Kyun Chaltay Chaltay Ruk Gaye Weraan Raasto Tanha Hon Aaj Mein Zara Ghar Tak To Sath Do
Wo Tu Aesa Tha Ke Ik Aansu Girne Ki Bi Waja Pocha Karta Tha Par Na Jane Kun Ab Usey Barsat Ki Pehchan Nahi Hoti
Mere dast_e daman main ye jo chand khushiyan hain Yebhi mujh ko parai si lagti hainDekhun agar in gamon ko To ye bhi kisi ke diye lagte hain
Ham Se Bewafai Ki Intha Kia Pochte Ho Mohsin Wo Ham se Pyar Sekhta Raha Kisi Aur Ke Liye
I can say i love you in so many ways But none is clearer than committing my days To the one who is dearest and closest to my heart On this day i promise you that we will never part
Jisay Ab Tak Talash Karta Hun Ghum Shuda Aik Yaad Hai Mujh Mein
Yun Dhal Rahe Shaam Ke Saaye Hain Dho Ke Gaeso Kisi Ne Phelaaye HainNa Yaqeen Aaya Usay Na Hi Reham Aaya Kabhi Main So Baar Tarpa Lakh Aansu Bahaye Hain
Gosha-e-Dil main tum ho Osan-e-Fakar main tum hoMahwr-e-Guftgu main tum ho Markze-e-Yaad main tum ho
Wo Mere Ghar Nahi Aata Mein Uske Ghar Nahi Jata Magar In Ihtiaton Se Ta’aluq Mar Nahi Jata
Main Aarzo-E Deed Ke Kis Marhale Mein Hun Khud Ayina Hun Ya Main Ayine Mein Hun
Mujhe Girna Hai Tu Main Apney Hi Qadmon Mein Giron Jis Tarah Saya-E Dewaar Pe Dewaar Giray
Ye Chaand Hi Teri Jholi Mein Aa Paray Shayad Zameen Pe Beth Kamand Aasman Pe Dalay Ja
Bhol Hoyi Sada Hun Mujhe Yaad Kijiye Tum Se Kahin Mila Hun Mujhe Yaad Kijye
Kaam Hai Mera Taghyur Naam Hai Mera Shabab Mera Nara Inqilab O Inqilab O Inqilab
Jo Tufano Mein Palte Ja Rahe Hain Wohi Dunya Badalte Ja Rahe Hain
Showing 928 of 2193