2205 poems
Wohi Karwan, Wohi Raastay Wohi Zindagi Wohi Marhalay Magar Apne Apne Maqam Par Kabhi Tum Nahi Kabhi Hum Nahi
Shikwa Koi Darya Ki Rawani Se Nahi Hai Rishta Hi Meri Pyaas Ka Pani Se Nahi Hai
Aesa Nahi Ke Ham Ko Mohabat Nahi Mili Ham Jesi Chahte Thay Wo Qurbat Nahi MiliMilne Ko Tu Zindagi Mai Kai Hamsafar Mile Lekin Tabiaton Se Tabiat Nahi Mili
Mein Kisi Ke Dast Talab Mein Hon, To Kisi Ke Harf Dua Mein Hon Mein Naseeb Hon Kisi Aur Ka Mujhe Mangta Koi Aur Hai
Gham-e Hayat Ka Jagra Mita Raha Hai Koi Chale Aao K Dunya Se Ja Raha Hai KoiAzl Se Keh Do K Ruk Jaye Do Ghari Suna Hai Aane K Waada Nibha Raha Hai Koi
Hawa Ke Dosh Pay Rakhay Hoye Chairag Hain Hum Jo Bujh Gaye To Hawa Se Shikaytein Kaisi
Har Aadmi Mein Hotay Hain Das Bees Aadmi Jis Ko Bhi Dekhna Ho Kayi Baar Dekhna
Matti Ka Badan Kar Diya Matti Ke Hawalay Matti Ko Kahin Taaj Mehal Mein Nahi Rakha
Bahanay Aur Bhi Hotay Jo Zindagi Ke Liye Hum Aik Baar Tri Arzoo Bhi Kho Dete
Yeh Wafa Ki Sakht Rahein, Yeh Tumahray Paon Naazuk Nah Lo Intiqam Mujh Se Marey Sath Sath Chal Ke
Dil Ko Teri Chahat Pe Bhrosa Bhi Bohat Hai Aur Tuj Se Bichar Jane Ka Dar Bhi Nahi Jata
But Khana Toar Dalye Masjid Ko Dhaye Dil Ko Nah Torye Yeh Khuda Ka Maqam Hai
Gharz Ke Kaat Diye Zindagi Ke Din Ae Dost Woh Teri Yaad Mein Hon Ya Tujhe Bhulane Mein
Mujh Se Kya Baat Likhaani Hai Ke Ab Mere Liye Kabhi Sonay Kabhi Chandi Ke Qalam Atay Hain
Wo Aansoon Ki Zuban Janta Na Tha Wasif Muje Byan Ka Na Tha Hosla, Main Kya Krta
Kon Uthaye Ga Tumhari Yeh Jfaa Mere Baad Yaad Aaye Gi Bohat Meri Wafa Mere Baad
Raat Bhar Un Ka Tasawwur Dil Ko Tarpaata Raha Aik Naqsha Samnay Aata Raha Jata Raha
Mere Yaar Naseeb Hon Tujhe Hazaar Eidain Tu Khush Rahy Chahy Hon Meeri Bekaar EidainKabhi Tu Sath Ho Ga Tu Eid Ke Din Main Bhi Karon Ga Khushion Main Shumaar Eidain
Wah Ray Ishq Tera Kya Kehna Jo Tuje Jan Le, Tu Usi Ki Jaan Le
Shayad Tum Aao Main Ne Isi Intezaar Main Ab Ka Baras Ki Eid Bhi Tanha Guzaar Di
Showing 848 of 2193