The ghazal
Read it in Urdu script-
Aesa Nahi Ke Ham Ko Mohabat Nahi Mili Ham Jesi Chahte Thay Wo Qurbat Nahi Mili
-
Milne Ko Tu Zindagi Mai Kai Hamsafar Mile Lekin Tabiaton Se Tabiat Nahi Mili
-
Chehron Ke Har Hajoom Main Ham Dhondte Rahe Sorat Nahi Mli Khain Serat Nahi Mili
-
Wo Yak Ba-Yak Mila Tu Bohat Dair Tak Hamain Alfaz Dhondne Ki Bi Muhlat Nahi Mili
-
Us Ko Gila Raha Ke Tawju Na Di Usay Lekin Hamain Khud Apni Rafaqat Nahi Mli
-
Har Shakhs Zindagi Main Bohat Dair Se Mila Koi Bhi Cheez Hasb-e Zarorart Nahi Mili


