2205 poems
Is Markay Mein Ishhq Bechara Kere Ga Kya Khud Husn Ko Hain Jaan Ke Lale Parre Hoye
Us Ne Goya Mujhi Ko Yaad Rakha Mein Bhi Goya Usi Ko Bhol Gaya
Wo Chehra Hath Mein Ley kar Kitab Ki Sorat Hari K Lafz Har Ik Naqsh Ki Ada Dekhon
Ham Ye Tu Nahi Kehte Ke Ham Tujh Se Bare Hain Lekin Ye Bohat Hai K Tere Sath Khare Hain
Koi Bhola Hoya Chehra Nazar Aye Shayad Aaina Ghor Se Tu Ne Kabhi Dekha Hi Nahi
Gham Ke Mujram, Khushi Ke Mujram Hain Log Ab Zindagi Ke Mujram Hain
Had Hai Apni Taraf Nahi Main Bhi Aur Un Ki Taraf Khudai Hai
Ham Haqeeqat Hain Tu Tasleem Na Karne Ka Sabab Han Agar Harf Ghalat Hain Tu Mita Do Ham Ko
Tere Jamal Ki Tasweer Khench Dun Lekin Zuban Mein Aankh Nahi Aankh Mein Zuban Nahi
Ye Kon Aane Jaane Laga Is Gali Mein Ab Ye Kon Meri Dastan Duhraane Wala Hai
Dekha Jo Kha Ke Teer Kameen Gah Ki Taraf Apny Hi Doston Se Mulaqat Ho Gayi
Kisi Ke Janay Se Mujhe Koi Faraq Nahi Parta Lafaz Khuda Hafiz Se Mere Purany Marasm Hain
Ayi Ho Gi Kisi Ko Hijar Mein Moat Mujh Ko Tu Neend Bhi Nahi Aati
Tum Jee Kar Dekh Lo Haqeqaton Ki Gehri Wadiyon Main Mere Liye Tu Khawabon Ka Shehar Hi Kaafi Hai
Woh Jo Bhoolay Hain To Phir Yaad Nah Krwao Is Werany Mein Aaj Mera Tamasha Nah BanaaoHaan Mujhe Maan Hai Is Par Lekin Phir Bhi Is Ke Naam Se Mat Satao
Jhonke Ke Sath Chat Gayi Dastak Ke Sath Dar Gaya Taza Hawa Ke Shoq Mein Mera Tu Sara Ghar Gaya
Aaj Meri Kalai Aik Ghari Se Bhi Mehroom hai Warna Main Tu Ik Shaks Ka Waqt Khredta Raha Hun
Aesi Tareekyan Aankhon Mein Basi Hai Ke Faraz Raat Tu Raat Hai Ham Din Ko Jalate Hain Chiragh
Rooh Qabzi Mein Bari Azeat Se Guzra Tha Tumhari Zaat Jo Atki Thi Ukhri Hoyi Sansoon Ke Sath
Wo Jo Khatam Hoyi Hai Wo Mohabat Hai Dhoke Baazon Ke Sath Jang Jaari Hai
Showing 828 of 2193