Taras jati hain aankhein

Taras jati hain aankhein tere dedaar ko janaa
Kuch lamhaat dedaar ke anayat kr mujhy
Kabhi baith mere samnay

Kabhi baith mere samnay tujhe haal-e dil sunaye hum
Tairay ban kaisay tarapty hain yeh bhi tujhe batlaye hum
Likhari ko us ke likhy ki

Likhari ko us ke likhy ki gar daad nahi milti
Tu us ko aur likhne ko koi baat nahi milti
Sawal yeh hai

Sawal yeh hai jo cheez jaisay dikhti hai
Usay waisay hi paish kyun nah kya jaye
Apne andar dabe awazon ko
Bahar kyun nah laya jaye Continue reading “Sawal yeh hai”
Ashk aankhon mein thay
Ashk aankhon mein thay
Chehray pay thi udasi
Sab sun ke ru paray
Aisi thi us ki kahani
Dil kuch bhi nahi

Rooh chhalni chhalni
Badan lahoo lahoo hai
Yeh jora naya nahi
Mein ne karaya isay rafo hai Continue reading “Dil kuch bhi nahi”