2206 poems
Gharz parasti mein had se guzar nahi jana Mujhe bigaar ke tum khud sanwar nahi janaO shoq o naz se zulfein sanwarnay walay Meri hayaat ki manind bikhar nahi janaBohat se log meri zindagi mein aaye, gaye Meri nigah se tum bhi utar nahi janaMunafiqon mein rahen ge to kaisay guzray gi Yeh janna tha zaroori magar nahi jana
Khuda ki itni barri kaayenaat mein main ne Bas aik shakhs ko maanga mujhe wohi nah mila
Sada aik hi rukh nahi nao chalti Chalo tum idhar ko hawa ho jidhar ki
Mana ke teri deed ke qabil nahi hon mein To mera shoq dekh mra intzaar dekh
Hain sardian palatnay ko Ab tum bhi palatnay ka sochoTanha guzray kitney mausam Tum lautay nah mere hamdamJin par hmm sang sang chaltay thay Woh rahein adhuri hain jananWalehana liptaine ko tum se. . .
Khizaan khareed ke laaye hain us ka sood bahar Magar labon pay rakhi uss ke bawajood baharNazar mein saya tha woh bhi hoa hai ab madoom Kahin samood hai yaar o kahin pay hood baharFarakh dil thay jo kchche gharon mein rehtay thay Chaman mein bachpana khushbu tha khail kood bahar
Kal shab kisi ki yaad ki shiddat thi is qader Ke khanjar faraaq se dil chaak ho gaya Ik waqt woh bhi aaya shab-e intezaar mein Mein jaagta hi reh gaya aur chaand so gaya
Aaj tak apni jagah dil mein nahi apne hui Yaar ke dil mein bhala pucho to ghar kyun kar karen
Mujh se kya ho saka wafa ke siwa Mujh ko milta bhi kya saza ke siwa
Mein ne jo likh diya woh khud hai gawahi apni Jo nahi likha abhi us ki basharat dun ga
Koi ehley nazar nahi lagta Is liye mooatbar nahi lagtaSab diye hum ne khud bujha daaley Ab hawaon se dar nahi lagta
Yeh jo dil iqraar par iqraar sa karne laga hai Ab kisi aur se bhi pyar sa karne laga haiAb jo ilzaam mohabbat se woh darta hi nahi Ab mohabbat ko woh shahkaar sa karne laga hai
Jis simat bhi dekho nazar aata hai ke tum ho Ay jaan-e jahan ye koi tum sa hai ke tum ho
Tum mujhe chore ke jao ge to mar jaoon ga Yun karo jane se pehlay mujhe pagal kar do
Jo shehr-e dil mein yeh fitnah fasaad baqi hai Yun lag raha hai tri koi yaad baqi haiMein shayron mein saraha gaya hon khoob magar Tri taraf se jo milni hai daad baqi hai
Aik aaina ro bah ro hai abhi Us ki khushbu se guftagu hai abhi
Tumhari arzoo mein main ne apni arzoo ki thi Khud apni justojoo ka aap haasil ho gaya hon mein
Meri roshni tre khad o khhaal se mukhtalif to nahi magar To qareeb aa tujhe dekh lon to wohi hai ya koi aur hai
Ye jo deewany se do chaar nazar atay hain Un mein kuch sahib asaraar nazar atay hainTeri mehfil ka bharam rakhtay hain so jatay hain Warna yeh log to bedaar nazar atay hain
Safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalo Sabhi hain bheer mein tum bhi nikal sako to chalo
Showing 168 of 2194