2205 poems
Ham Kya Krein Agar Na Teri Aarzo Krein Dunya Mein Aur Bhi Koi Tere Siwa Hai Kiya
Ik Baar Aur Dekh Kar Azad Kar De Muje Mohsin K Main Aaj Bi Teri Pehli Nazar Ki Qaid Main Hon
Aqal Mein Jo Ghir Gaya La Intiha Kun Kar Hua Jo Sama Mein Aa Gya Phir Wo Khuda Kun Kr Hua
Raushni Hoti Nahin Aur Dhuwaan Uthta Hai Ye Charagon Ka Badan Aise Jalaya Kis Ne?
Demak Zada Kitab Thi Yaadon Ki Zindagi Har Warq Kholne Ki Khawhish Mein Phat Gya
Baadlon Ke Shahr Ki Har Ik Gali Ko Hai Khabar Dhoop Ki Gori Hatheli Choom Kar Aaya Hun Main
Na Jaane Kitni Muddat Se Hai Dil Mein Ye Amal Jari Zara Si Thes Lagti Hai Zara Sa Toot Jata Hai
Dost Ban Kar Bhi Nahi Sath Nibahne Wala Wohi Andaaz Hai Zalam Ka Zamane Wala
Tuj Ko Khabar Nahi Mgar Ik Sadah Loh Ko Barbad Kar Dia Tere Do Din Ke Pyar Ne
Apne Liye Ab Aik Hi Rah-E Nijat Hai Har Zulm Ko Riza-E Khuda Keh Liya Karo
Sara hi shehar Us k Janazey me tha Shareek Tanhaiyon k khauf se Jo shakhs mar gya
Na Ab Wo Yaadon Ka Charhta Darya Na Fursaton Ki Udas Barkha Yun Hi Zara Se Kasak Hai Dil Mein Jo Zakham Gehra Tha Bhar Gya Wo
Do Din Ki Zindagi Hai Kia Karo Gay Ulaj Kar Raho Tu Phol Ki Manind Bhikro Tu Khusbo Ban Kar
Zindagi Kis Tarah Basar Ho Gi Dil Nahi Lag Raha Mohabat Mein
Ab Tak Meri Yaadon Se Mitaye Nahi Mit'ta Bhegi Hoyi Ik Sham Ka Manzar Teri Aankhen
Anokhi Waza Hai Sare Zamane Se Nirale Hain Ye Aashiq Kon Se Basti Key A Rab Rehne Wale Hain
Bas Tum Muje Achi Lagti Ho Tum Itni Sundar Ho K NahiTumhain Ik Nazar Jo Dekhe Wo Sudh Budh Bhole Madhosh Rahe
Nahi Nahi Ye Khabar Dushmano Ne Di Ho Gi Wo Aye Aa Ke Chale Bhi Gaye Milay Bhi Nahi
Tere Qol-o Qarar Se Pehle Apne Kuch Aur Bhi Sahare Thay
Wafa Ka Ehad Tha Dil Ko Sambhalne Ke Liye Wo Hans Pare Muje Mushkil Mein Dalne Ke Liye
Showing 1588 of 2193