2206 poems
Us ki yaadon ne ajab haal kar rakha hai Muj ko muj se hi judaa kar rakha hai
Main us se jeet sakta tha Mgar main haar aya hun
Mein tairay sang abhi aur chal nhِin sakta Lِkha gaya jo muqaddar mein tal nahi saktaHar aik gaam pay kaanton ka saamna to hai Chuna jo rasta, rasta badal nahi saktaMein bhook jheel ke faqon se mar to sakta hoon Milein jo bheek mein tukron pay pal nahi sakta
Us ko khud se juda kia main ne Bas yehi jurm kia or kya kia main ne
Mukhtasir hi sahi kahani tu hai Teri meri mohabbat ki rawani tu hai
Tumhe Jab Kabhi Milein Fursaten Marey Dil Se Boojh Utaar Do Mein Bohat Dinon Se Udaas Hon Mujhe Koi Shaam Udhaar Do
Tre ishq ki intahaa chahta hon Meri saadgi dekh kya chahta hon
Ghar mein rehtay hue gheiron ki tarhan hoti hain Larkiyan dhaan ke poudoun ki tarhan hoti hainUrr ke ik roz bohat daur chali jati hain Ghar ki shaakhon pay yeh chiryon ki tarhan hoti hainSehmi sehmi hui rehti hain makaan dil mein Aarzoyeen bhi gharebon ki tarhan hoti hain
Mujh mein aur shama mein hoti thi yeh baatein shab hijar Aaj ki raat bachchen ge to sehar dekhen ge
Bzahir saadgi se muskura kar dekhnay walo Koi kambakht nawaqif agar deewana ho jaye
Apne halaat ko kaisay kaisay jiya mein ne Woh jo dard tha tera kaisay kaisay piya mein neZindagi bhallay ik taweel raah thi meri Magar teri zaat ki khatir jiya mein neWoh jo umar thi teri mera pasban thi Kya tha jo supurd tairay khud ko haraya tha mein neChala tha jo teri over chorra tha sab kuch Yaqeen jano nahi dekha tha naffa o nuqsaan mein ne
Gaya jahan se adna ya koi aala gaya Kisi ka gham bhi kahan der tak sanbhala gayaSaleeqa is mein mujhe ik zara dikhe to sahi Kaha jo kaam hamesha woh kal pay taalla gaya
Auron ki taraf to daikhta hai Idhar bhi to kar nigah zalim
Talluq Kirchiyun Ki Shakal Mein Bikhra To Hai Phir Bhi Shakista Aaiinon Ko Jor Dena Chahtay Hain Ham
Khamshi se hui faghan se hui Ibtida ranj ki kahan se hui
Yeh samajh ke mana hai sach tumhari baton ko Itnay khobsorat lab jhoot kaisay bolein ge
Woh afsana jisay injaam tak lana nah ho mumkin Usay ik khobsorat mour day kar chorna acha
Halaat o waqeat ne zee hosh kar diya Phir khud ko pum ne aap hi ro posh kar diyaAisa nah ho kahin ke ho hungama ik khara Aisay mein dil shakista ko khamosh kar diyaRishta nah tha ke jaisay talluq nah tha koi Apnon ne mujh ko aisay faramosh kar diya
Na hum safar nah kisi hum nashen se niklay ga Hamaray paon ka kaanta hamein se niklay ga
Mein sach kahoon gi magar phir bhi haar jaoon gi Woh jhoot bolay ga aur laa jawab kar day ga
Showing 128 of 2194