The ghazal
Read it in Urdu script-
Paon Ki Dhol Ko Dastar Se Larna Ho Ga Ab Ghreebon Ko Bhi Zardar Se Larna Ho Ga
-
Jang Tu Jeet Gya Hon Mein Jahan Walon Se Ab Mujhe Apny Hi Ghar Bar Se Larna Ho Ga
-
Gar Basani Hai Mohabar Ki Nai Dunya Tu Ae Dewano Tumhen Sansar Se Larna Ho Ga
-
Kya Khabar Thi Ke Ghari Bhar Ke Sukoon Ki Khatir Dhop Mein Saya-e Dewar Se Larna Ho Ga
-
Maat Khayen Gey Jo Medanon Se Hatey Gey Pechay Ab Hamain Jazba-e Esar Se Larna Ho Ga
-
Ham Ne Aapas Mein Larai Tu Bohat Kar Li Hai Ab Hamain Mulak Ke Ghaddar Se Larna Ho Ga
-
Jang Dushmano Se Nahi Apny Laho Se Ho Tu Teer O Talwar Nahi Pyar Se Larna Ho Ga
-
Roh Ko Jim Se Azaad Agar Hona Hai Har Ghari Sansoon Ki Talwar Se Larna Ho Ga
Submitted by Mohsin Aftab Kelapuri


