2205 poems
Koi Dawa Na De Sakay Mashwara Dua Dia Chara Garaon Ne Aur Bhi Dard-E Dil Barha Dia
Kisi Aur Ko Mere Haal Se Na Gharz Hai Koi Na Waasta Main Bikhar Gaya Hun Sameet Lo Main Bigar Gaya Hun Sanwaar Do
Dunya Mein Hun Dunya Ka Talabgar Nahi Hun Bazaar Se Guzra Hun Kheridar Nahi Hun
Ho Maloon To Aana Maiyat Pe Meri Tera Dil Hai Door, Door Ghar Nahi
Aankhon Tak Na Aa Saki Kabhi Aansuon Ki Lehar Ye Qaafla Bhi Naqal Makani Mein Kho Gaya
Tumhara Kia Bigara Tha Jo Tumne Tor Dala Hai Ye Tukre Mai Nahi Lun Ga Muje To Dil Bna Kar Do
Zameen Ne Khon Ugla Aasman Ne Aag Barsai Jab Insanon Ke Dil Badle Tu Insanon Pe Kya Guzri
Dosti Jab Kisi Se Ki Jaye Dushmano Ki Bhi Raaye Li Jaye
Halat Se Khof Kha Raha Hun Sheshe Ke Mehal Bana Raha Hun
Mere Chehre Pe Ghazal Likhti Gayen Sher Kehti Hoyi Aankhen Us Ki
Judaion Ke Zakhm Dard-E Zindagi Ne Bhar Diye Tujhe Bhi Neend Aa Gayi Mujhe Bhi Sabar A Gaya
Khushbu Ki Dewar Ke Peche Kese Kese Rang Jamay Hain Jab Tak Din Ka Soraj Aaye Us Ka Khoj Lagate Rehna
Is Shab Ke Muqadar Mein Sehar Hi Nahi Mohsin Dekha Hai Kayi Baar Chiraghon Ko Bhuja Kar
Ki Wafa Ham Se To Ghair Is Ko Jfaa Kehte Hain Hoti Aayi Hai Ke Achon Ko Bura Kehte HainAaj Ham Apni Pareshani Khatir Un Se Kehnay Jatay To Hain Par Dekhiey Kya Kehte Hain
Bulbul Ghazal Sarai Aage Hamare Mat Kar Sab Ham Se Sekhte Hain Andaz Guftagu Ka
Aaj Mujh Ko Bohat Bura Keh Kar Aap Ne Naam Tu Liya Mera
Na Teri Yaad Na Dunya Ka Gham Na Apna Khayal Ajeeb Sorat E Haal Ho Gayi Payare
Ham Se Kehte Hain Chaman Wale Ghareban Chaman Tum Koi Acha Sa Rakh Lo Apne Verane Ka Naam
Chal Bullia Hun Othay Chalye Jithay Saray Anay Na Koi Sanu Penchany Na Koi Sanu Manny
Khar Hasrat Bayan Se Nikla Dil Ka Kanta Zuban Se Nikla
Showing 1088 of 2193