Skip to content
SadPoetry
EN
Ki Wafa Ham Se To Ghair Is Ko Jfaa Kehte Hain — Mirza Ghalib

Ki Wafa Ham Se To Ghair Is Ko Jfaa Kehte Hain

Mirza Ghalib Ghazal 9 couplets
  1. Ki Wafa Ham Se To Ghair Is Ko Jfaa Kehte Hain Hoti Aayi Hai Ke Achon Ko Bura Kehte Hain

  2. Aaj Ham Apni Pareshani Khatir Un Se Kehnay Jatay To Hain Par Dekhiey Kya Kehte Hain

  3. Aglay Waqton Ke Hain Yeh Log Inhen Kuch Nah Kaho Jo Me O Naghma Ko Andoh Rubaa Kehte Hain

  4. Dil Mein Aa Jaye Hai Hoti Hai Jo Fursat Ghash Se Aur Phir Kon Se Naalay Ko Rasa Kehte Hain

  5. Hai Paray Sarhad Idraak Se Apna Masjood Qiblay Ko Ahal Nazar Qibla Numa Kehte Hain

  6. Paye Afgaar Pay Jab Se Thuje Reham Aaya Hai Khaar Reh Ko Tre Hum Mohar Gaya Kehte Hain

  7. Ik Sharer Dil Mein Hai Is Se Koi Ghabraye Ga Kya Aag Matloob Hai Hum Ko Jo Sun-Hwa Kehte Hain

  8. Dekhiey Latayen Hai Is Shokh Ki Nakhwat Kya Rang Is Ki Har Baat Pay Hum Naam Kkhuda Kehte Hain

  9. Wehshat O Shefta Ab Marsia Kehwen Shayad Mar Gaya Ghalib Asham Nawa Kehte Hain

Report a mistake

More by Mirza Ghalib

All poems