130 poems
Kon Kehta Hai Waqt Dohrata Hai Apne Aap Ko Gar Ye Sach Hai Tu Mera Bachpan To Lotaye Koi
Nahi Sajde Kiye Ham Ne Kabi Ghairon Ki Chokhat Par Hmain Jis Ki Zarorat Ho Khuda Se Mang Lete Hain
Kash Har Raat Ik Hi Manzar Ho Chand, Parbat, Ye Jheel Mein Aur Tum
Bint-e Hawa K Narm Lehje Ne Ibn e Adam Bigar Rakhy Hain
Bas Panchi Urne ke Qabil Ho Jayen Mangi Hai Itni Si Muhlat Pairon Ne'Pairon' = Trees
Milne Aata Hai Roz Gham Mujh Se Us Ne Dekha Hoya Hai Ghar Mera
Wo Shajar Be-Samar Nahi Rehte Jo Kisi Aas Par Nahi Rehte
Reat Hi Reat Hai Is Dil Main Musafar Mere Aur Ye Sehra Tera Nakash-e Kafe Pa Chahta Hai
Jhoot Key Age Piche Darya Chaltay Hain Sach Bola Tu Payasa Mara Jaye Ga
Bole Tu Sahi Jhot Hi Bole Wo Bla Se Zalam Ka Lab-o Lehja Dil Aawez Bohat Hai
Ae Shoq e Nazara Kya Kehye Nazron Mein Koi Surat Hi Nahi Ae Zoq Tasawur Kya Kejiye Ham Sorat E Jana Bhol Gaye
Raushni Hoti Nahin Aur Dhuwaan Uthta Hai Ye Charagon Ka Badan Aise Jalaya Kis Ne?
Baadlon Ke Shahr Ki Har Ik Gali Ko Hai Khabar Dhoop Ki Gori Hatheli Choom Kar Aaya Hun Main
Khalid Main Baat Baat Pe Kehta Tha Jis Ko Jaan Wo Shakhs Aakhirash Mujhe Bey Jan Kar Gya
Usay Ye Kon Btlaye Usay Ye Kon Samjhaye Bohat Khamosh Rehne Se Taluq Tot Jate Hain
Kabi Kabar Usay Dekh Lain Kahin Mil Lain Ye Kab Kaha Tha Ko Wo Khush Badan Hamara Ho
Pata Pata Bota Bota Haal Hamara Jane Hai Jane Na Jane Dil Hi Na Jane Bagh Tu Sara Jane Hai
Tu Qadir Aur Aadil Hai Par Tere Jahan Mein Hai Talkh Bohat Banda-E Mazdoor Ke Auqat
Khwab Hote Hain Dekhne Ke Liye In Mein Ja Ka Magar Raha Na Karo
Zulm Sehna Bhi Tu Zaalim Ki Hmayat Thehra Khamshi Bhi Tu Hoyi Pusht Pnahi Ki Tarah
Showing 100 of 130