853 poems
Arz Niaz Ishq Ke Qabil Nahi Raha Jis Dil Pe Naaz Tha Muje Wo Dil Nahi Raha
Aane Wale Kisi Tofan Ka Rona Ro Kar Na Khuda Ne Mujhe Sahal Pe Dobona Chaha
Aaj Bhi Shayad Koi Phoolon Ka Tuhfa Bhej De Titliyan Mandla Rahi Hai Kanch Ke Guldan Par
Apne Liye Tajweez Ki Shamsheer Barhana Aur Us Ke Liye Shaakh Se Ik Phool Utara
Abhi Hairat Zayada Aur Ujala Kam Rahey Ga Ghazal Mein Ab Ke Bhi Tera Hawala Kam Rahey Ga
Us Ki Khwahish Hai Ke Ab Log Na Royen Na Hansen Be-Hasi Waqt Ki Awaz Bana Di Jaye
Tabdeli Jab Bi Aati Hai Mosam Ki Adaon Mein Kasi Ka Yun Badal Jana Bohat Hi Yaad Aata Hai
Apni Marzi Se Kahan Apny Safar Ke Ham Hain Rukh Hawaon Ka Jidhar Ka Hai Udhar Ke Ham Hain
Har Chehrey Mein Aata Hai Nazar Aik Hi Chehra Lagta Hai Koi Meri Nazar Bandhy Hoye Hai
Gham Ke Sehra Se Jab Guzar Aaya Sher Kehne Ka Phir Hunar Aaya
Din Kuch Aesy Guzarta Hai Koi Jese Ehsaan Utarta Hai Koi
Darya Ke Kinare Peh Meri Lash Pari Thi Aur Pani Ki Teh Mein Wo Mujhe Dhond Raha Tha
Saya Bi Tera Tuj Ko Kahin Chor Jaye Ga Aye Bi Tere Kaam Tu Tanhai Aye Ge
Aandhiyan Aati Thi Lekin Kabhi Aesa Na Hoya Khof Ke Mare Juda Shakh Se Patta Na Hoya
Ab Sochte Hain Layen Gey Tuj Sa Kahan Se Ham Uthnay Ko Uth Tu Aye Tere Aastan Se Ham
Kehte Kehte Kuch Badal Deta Hai Kun Baton Ka Rukh Kun Khud Apne Aap Ke Bhi Sath Wo Sacha Nahi
Aap Ke Bad Har Garhi Ham Ne Aap Ke Sath Hi Guzari Hai
Daman Jhtak Ke Wadi-E Gham Se Guzar Gya Uth Uth Ke Dekhti Rahi Gard-e Safar Mujhe
Aesay Daray Hoye Hain Zamane Ki Chal Se Ghar Mein Bhi Paon Rakhte Hain Ham Tu Sambhal Kar
Rait Par Beth Kar Behte Hoye Ashkon Se Tum Bi Likho Gay Mera Naam Mgr Mere Baad
Showing 540 of 853