853 poems
Teri Sorat Se Kisi Ki Nahi Milti Sorat Ham Jahan Mai Teri Tasveer Lye Phirte Hain
Sun Tu Sahi Jahan Mein Hai Tera Fasana Kya Kehti Hai Tujh Ko Khalaq-e Khuda Ghayebana Kya
Ham Aese Sada Dilon Ki Nayaz Mandi Se Buton Ne Ki Hai Jahan Mein Khudayan Kya Kya
Is Qadar Khamoshi Hai Charon Taraf Zehan Sochay Tu Shor Hota Hai
Chup Chap Sunti Rehti Hai Pehron Shab-e Firaq Tasveer Yaar Ko Hai Meri Guftagu Pasand
Log Dewaane Hain Banawat Ke Ham Saadgi Le Kar Kahan Jayen
Mere Raah Ki Dewaar Banay Hoye Hain Ye Jo Mere Yaar Banay Hoye Hain
Meri Barbaadian Durast Magar Tu Bta Kya Tujhe Sawab Hoa
Ye Aana Koi Aana Hai Ke Bas Rasman Chale Aaye Ye Milna Khak Milna Hai Ke Dil Se Dil Nahi Milta
Itni Milti Hai Meri Ghazalon Se Surat Teri Log Tujh Ko Mera Mehboob Samjhte Hon Gey
Ragon Mein Dorte Phirne Ke Ham Nahi Qayal Jab Aankh Se Hi Na Tapka Tu Phir Laho Kya Hai
Shab-E Wasal Thi Chandni Ka Sama Tha Baghal Mein Sanam Tha Khuda Meharban Tha
Shayad Muje Kisi Se Mohabat Nahi Hui Lekin Yaqeen Sab Ko Dilata Raha Hun Mein
Dil Muztar Se Poch Aey Ronaq-E Bazam Main Khud Aya Nahi Laya Gaya Hun
Dushmani Jam Kar Karo Lekin Ye Gunjaesh Rahe Jab Kabi Ham Dost Ho Jayen Tu Sharminda Na Hun
Mere Sabr Ki Intiha Kia Pochte Ho Faraz Wo Muj Se Lipat Ke Roya Kisi Aur Ke Liye
Chup Kahin Aur Liye Phirti Thi Batain Kahin Aur Din Kahin Aur Guzarte Thay Tu Raatain Kahin Aur
Jab Us Ki Zulf Mein Pehla Safaid Baal Aya Tab Us Ko Pehli Mulaqat Ka Khayal Aya
Do Hi Cheezain Is Dharti Mein Dekhne Wali Hai Matti Ki Sundarta Deko Aur Mujhe Dekho
Ab Tak Na Khabar Thi Mujhe Ujrey Hoye Ghar Ki Wo Aye Tu Ghar Be Saro Saman Nazar Aya
Showing 520 of 853