853 poems
Mat Kar Charcha Apne Husn Ka Ab Zamane Main Is Dagha Baaz Chehry Ko Sab Pehchanty Hain Log
Un K Ghar Ki Taraf Munh Kar Ke Ham Aksar Haal-e Dil Sunate Hain
Rehtay Thay Kabhi Jin Ke Dil Mein Hum Jaan Se Bhi Pyaron Ki Terhan Baithy Hain Inhen Ke Koochy Mein Hum Aaj Gunahgaron Ki Terhan
Aaye Bhi Log Baithy Bhi Uth Bhi Kharray Hue Mein Ja Hi Dhondata Tri Mehfil Mein Reh Gaya
Wo Khat Ju Tum Ne Kabi Likha Hi Nahi Mein Roz Beth Kar Us Ka Jawab Likhta Hun
Shikaytein Bhi Bohat Hain Hikaytein Bhi Bohat Maza To Jab Hai Ke Yaaron Ke Ro Bah Ro Kahiye
Kisay Panay Ki Khwahish Hai Ke Sajid Mein Rafta Rafta Khud Ko Kho Raha Hon
Mere Totay Hosle Ke Par Nikalte Dekh Kr Us Ne Dewaron Ko Apni Aur Oncha Kr Dya
Itne Ghane Badal Ke Peche Kitna Tanha Ho Ga Chand
Kaash Nabeel Ka Dil Bhi Ahl-e Zubaan Hota Is Ka Tarz-e Amal Ab Mujh Se Bayan Nahi Hota
Tera Aastan Jo Na Mil Saka Teri Rah Guzar Ki Zameen Sahi Hmain Sajda Karne Se Kam Hai Jo Wahan Nahi Tu Kahin Sahi
Dunya Jise Kehte Hain Jadu Ka Khlona Hai Mil Jaye Tu Matti Hai Kho Jaye Tu Sona Hai
Hamen Bhi Neend A Jaye Gi Ham Bhi So Hi Jayen Gey Abhi Kuch Be-Qarari Hai Sitraon Tum Tu So Jao
Mein Akela Hi Chala Tha Janab-E Manzil Magar Log Sath Aate Gaye Aur Karwan Banta Gaya
Had Se Barhey Jo Ilam Tu Hai Jahal Dosto Sab Kuch Jo Jante Hai Wo Kuch Nahi Jante
Bahaar Aye Tu Mera Salam Keh Dena Mujhe Tu Aaj Talab Kar Liya Hai Sehraa Ne
Sabar Ka Daman Kis Qadar Thamay Rakho Ab Tu Daman Chaak Hone Ko Hai, Hath Laho-Lahan Hone Ko Hai
Wohi Hai Rang Magar Bo Hai Kuch Lahu Jesi Ye Ab Ki Fasal Mein Khilte Gulab Kese Hain
Pata Ab Tak Nahi Badla Hamara Wohi Ghar Hai Wohi Qissa Hamara
Yahan Kisi Ko Bhi Kuch Hasb-E Aarzo Na Mila Kisi Ko Ham Na Milay Aur Ham Ko Tu Na Mila
Showing 460 of 853