2205 poems
Hmain Ho Ga Kuch Aur Darkar, Dekhen Agar Samne Sorat-e Yaar DekhenHoyi Khatam Jati Hai Umeed-e Ulfat Ham Apni Qaza Ke Hi Asar Dekhen
Aao Mil Jao Keh Ye Waqt Na Pao Gey Kabi Mein Bhi Hamrah Zamana Ke Badal Jaon Ga
Aap Ki Yaad Aati Rahi Raat Bhar Chandi Dil Dukhati Rahi Raat Bhar
Aaina Dekh Apna Sa Munh Le Ke Reh Gaye Sahab Ko Dil Na Dene Pe Kitna Ghuror Tha
Ham Bhol Saken Hain Na Tuje Bhol Saken Gey Tu Yaad Rahe Ga Hamain Haan Yaad Rahe Ga
Wo Raatain Chand Ke Sath Gayen Wo Batain Chand Ke Sath Gayen Ab Sukh Ke Sapne Kya Dekhein Jab Dukh Ka Suraj Sar Par Ho
Ham Is Qadar Bi Nahi Apni Ana K Taba Tum Pkaro Tu Sahi Lot K Aa Jayen Gay
Bhari Bazam Mein Raaz Ki Baat Keh Di Bara Be-Adab Hun Saza Chahta Hun
Dil Ki Konpal Hari Tere Hone Se Hai Zindagi Zindagi Tere Hone Se HaiKasht Zaaron Mein Tu Karkhano Mein Tu In Zameeno Mein Tu Aasmano Mein Tu
Main Kese Man Loon Ke Koi Mera Nahi Raha Jab Tak Khuda Ki Zaat Hai Tanha Nahi Hoon Main
Zindagi Kya Hai Ik Kahani Hai Ye Kahani Nahi Sunani Hai
Ab Dekh Le Ke Sena Bhi Taza Hoya Hai Chak Phir Ham Se Apna Hal Dikhaya Na Jaye Ga
Meri Ratain Teri Yaadon Se saji Rehti Hain Meri Sansain Teri Khushbu Se Basi Rehti HainMeri Aankhon Mai Tera Sapna Sja Rehta Hai Haan Mere Dil Main Tera Aks Basa Rehta Hai
Ghair Se Nafrat Jo Pali Kharch Khud Par Ho Gyi Jitney Ham Thy Ham Ne Khud Ko Us Se Aadha Kar Liya
Aaj Dekha Hai Tujh Ko Dair Ke Baad Aaj Ka Din Guzar Na Jaye Kahin
Warq Warq Meri Nazron Mai Kainat Ka Hai K Dast-e Ghaib Se Likhi Hui Kitab Hoon Main
Usay Lakh Dil Se Pukar Lo Usay Dekh Lo Koi Aik Harf Jawab Mein Nahi Aye Ga
Aik Mudat Se Meri Maa Nahi Soyi Tabish Main Ne Ik Bar Kaha Tha Mujhe Dar Lagta Hai
Tera Ghar Aur Mera Jungle Bhegta Hai Sath Sath Aesi Barsatain Ke Badal Bhegta Hai Sath Sath
Meri Tanhai Ko Mera Shoq Na Samajna Bohat Pyar Se Dia Hai Ye Tuhfa Kisi Ne
Showing 1428 of 2193