2205 poems
Na Zameen Hai Meri Qarar Gah, Na Falak Hai Manzal-e Jazb e Dil Bari Dair Se Hai Safar Mera, Teri Yaad Se Teri Yaad Tak
Mataa Looh O Qalam Chinh Gayi To Kya Gham Hai Ke Khoon Dil Mein Dabo Li Hain Unglian Main Ne Zuban Pay Mohar Lagi Hai To Kya Ke Rakh Di Hai Har Aik Halqa Zanjeer Mein Zuba Mein Ne
Abhi To Sath Chalna Hai Smanadar Ki Masafat Main Kinaray Par Dekhain Gey Kinara Kon Karta Hai
Ik Buraii Ke Asaib Mein Hon Mubtala Dhoondata Hon Wohi Chehra, Jo Nah MilaRashk Uss Par, Jis Ney Paaya Unhen Unke Chahanay Walon Se Kya Gilla
Shor Yun Hi Nah Parindon Ney Machaya Hoga Koi Jungle Ki Taraf Shehar Se Aaya HogaPairr Ke Kaatnay Walon Ko Yeh Maloom To Tha Jism Jal Jayen Ge Jab Sir Pay Nah Saya Hoga
Chiragh Jalan To Purani Rasmain Hai Shehzad Ab To Mere Shehr Ke Log Insaan Jala Dete Hain
Har Koi Mir o Ghalib Sa Ahl-e Sukhn Nahi Hota Qudrat Ne Har Kisi Main Tu Shayar Nahi Rakhan
Saal Ha Saal Guzartay Yaad E Janan Mein Hum Khud Ko Rahay Ujartay Yaad E Janan Mein HumMushkil Nah Ho Yaad Karne Mein, Jaun Ki Terhan Uska Chehra Rahay Abharte Yaad E Janan Mein Hum
Mein Choti Si Ik Bachi Thi Teri Ungli Thaam Ke Chalti Thi To Daur Nazar Se Hoti Thi Mein Annsoon Ansoo Roti ThiKhowaboon Ka Ik Roshan Basta To Roz Mujhe Pehnati Thi Jab Darti Thi Mein Raat Ko To Apne Sath Sulati Thi
Koi Shab Hijar Main Bitai To Kis Tarah Aesay Main Lab Pey Dua Aayi To Kis Tarah
Jany Kis Ka Khawab Ho Ga Us Ki Band Aankhon Main
Mere Lafz Nahi Muhtaaj Kisi Soorat Ke Mein Likhta Hon Faqat Haal Seerat KeMein Ny Gava Diye Sabhi Dost Apne Ab Sath Mehez Log Hain Zaroorat KeSukoon Darkaar Nahi, Apna Hi Hon Dushman Chahiye Lamhay Wohi Jo They Musarrat KeDil! Nikalay Gaye Jis Imarat Se Hum Uthaiye Hue Hain Boojh Usi Imarat Ke
Wo Kehty Hain Ke Aagay Sunaon Main Keh Deta Hon Ke Phir Kabhi Wo Kehty Hai Ke Kuch Tu Bataon Main Keh Deta Hon Ke Phir KabhiJab Hoti Hai Dil Main Hasrat Jab Hoti Hai Jisam Main Quwat Phir Hath Aata Bhi Hai Kaghaz Par Qalam Keh Deti Hai Phir Kabhi
Wo Allah Pey Yaqeen Hai Jo Us Ko Juda Sa Lagta Hai Warna Darya Ko To Har Skahks Mosa Sa Lagta Hai
Har Baat Jaante Hue Dil Manta Na Tha Hum Jaane Aitbar Ke Kis Marhale Mein The
Maza Chakha Ke Hi Mana Hun Mein Bhi Dunya Ko Samaj Rahi Thi Keh Aese Hi Chor Dun Ga Usay
Dosti Bhi Kabhi Rahi Ho Gi Dushmai Be Sabab Nahi Hoti
“ Al Lail ”Bismillah Ar Rahman Ar RahimQasam Raat Ke Andhere Ki, Jab Woh Chaah Jaye Aur Din Ke Ujale Ki, Jab Aashkar Ho Jaye Donoo Haqeeqat Main Tafreeq Hai Jaise Aamal e Insa(n) Maen Tafreeq HaiAik Khwahish e Duniya Se Hut Ke Pare Allah Se Dare, Sadka Bhi Kare Yeh Woh Mard e Momin, Jis Ke Lye Humwaar Rahain Khud Allah Kare
Ishq Par Geet Likhon Kyun Kar, Ishhq Mein Raha Suror Nai Sur Taal Ke Nashay Mein Jhoom Uttha, Charha Koi Fatoor NahiMeri Haalat Par Nah Taras Kha, Ke Abhi Jaan Se Guzarna Hai Khudi Bana Rakhi Hai Yeh Haalat Apni, Musawir Ka Qasoor Nahi
Zakhmi Hai Dil Magar Dawa Ki Talabb Nahi Khuhsi Gawara Nahi Haan Kisi Sabab NahiMaliye Magar Zara Katra Kar Milein Huzoor Ab Munkar-e Wafa Hon Wohi Ba Adab NahiMartay Hain Roz Kayi Log Raah E Wafa Mein Yun Unkee Qabar Par Koi Naam Nahi Kutba Nasb Nahi
Showing 588 of 2193