Al Lail

Al Lail

“ Al Lail ”

Bismillah Ar Rahman Ar Rahim

Qasam Raat Ke Andhere Ki, Jab Woh Chaah Jaye
Aur Din Ke Ujale Ki, Jab Aashkar Ho Jaye
Donoo Haqeeqat Main Tafreeq Hai
Jaise Aamal e Insa(n) Maen Tafreeq Hai

Aik Khwahish e Duniya Se Hut Ke Pare
Allah Se Dare, Sadka Bhi Kare
Yeh Woh Mard e Momin, Jis Ke Lye
Humwaar Rahain Khud Allah Kare

Aik Nakheel Jo Khud Ko Samjhe Ghani
Na Bashr, Na Allah Ki Parwa Kare
Jiska Sarmaya Waqt Pe, Furqat Kare
Uski Humwaar Rahain Phir Kon Kare

Inayat Ussi Ki, Hidayaat Ussi Ki
Duniya Ussi Ki Jannat Ussi Ki
Azal Bhi Ussi Ka, Abad Bhi Ussi Ki

Khabardaar Karta Hai Aag e Hashr Se
Bache Ga Na Koi, Badkaar Jis Se
Jo Munkir Hai, Sare Aalam Ke Rab Se
Na Aatish Zada Ho , Jo Dare Khuda Se

Jo Sadqey Se Pakeeza Khud Ko Kare Hai
Na Duniya Se Ajr Ki Tawakko Kare Hai
Sirf Allah Ke Cherey Ki Khwahish Kare Hai
Usse Allah Bhi Jannat Se Razi Kare Hai

—————
Inspired By Holy Quran Surah Al Lail.
May Allah Forgive My Mistakes And Sins. Ameen

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments