Phir Kabhi

phir-kabhi

Wo Kehty Hain Ke Aagay Sunaon
Main Keh Deta Hon Ke Phir Kabhi
Wo Kehty Hai Ke Kuch Tu Bataon
Main Keh Deta Hon Ke Phir Kabhi

Jab Hoti Hai Dil Main Hasrat
Jab Hoti Hai Jisam Main Quwat
Phir Hath Aata Bhi Hai Kaghaz
Par Qalam Keh Deti Hai Phir Kabhi

Wo Qissay Purany Wo Guzray Zamany
Cho Jaatay Hain Man Ko Wo Beetay Fasaane
Ki Rab Se Bhi Thi Hath Jor Ke Minnat
Par Qudrat Bhi Keh Gayi Phir Kabhi

Jo Chaha Tha Main Ne Wo Paya Nahi
Jo Paya Hai Main Ne Wo Socha Nahi
Musarrat Se Pocha Ye Kesi Iniayat
Ab Qudrat Bhi Keh Gayi Beta Phir Kabhi

Azaafa Hoa Ab Aqeedat Main Meri
Umar Ab Ye Guzray Ibadat Main Meri
Mohsin Ho Tera Bas Yehi Ik Haqeeqat
Lillah, Ab Na Keh Dena Ke Phir Kabhi

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments