853 poems
Yeh Kehna Tha Un Se Mohabbat Hai Mujh Ko Yeh Kehnay Mein Mujh Ko Zamane Lagey Hain
Main Apne Aap Ko Sulga Raha Hun Is Tawaqaa Per Kabhi Tu Aag Bharke Gi Kabhi Tu Roshni Ho Gi
Ab Mulaqaat Hui Hai To Mulaqaat Rahay Nah Mulaqaat Thi Jab Tak Ke Mulaqaat Nah Thi
Ruke Ruke Se Qadam Ruk Ke Baar Baar Chalay Qarar Day Ke Tre Dar Se Be Qarar Chalay
Tu Woh Bahhar Jo Apne Chaman Mein Aawara Mein Woh Chaman Jo Bahaaraan Ke Intezaar Mein Hai
Woh Agar Aa Nah Sakay Mout Hi Aayi Hoti Hijar Mein Koi To Gam-Khvar Hamara Hota
Phir Wohi Lambi Dopehren Hain Phir Wohi Dil Ki Haalat Hai Bahar Kitna Sannata Hai Andar Kitni Wehshat Hai
Jisay Ab Tak Talash Karta Hun Ghum Shuda Aik Yaad Hai Mujh Mein
Mujhe Girna Hai Tu Main Apney Hi Qadmon Mein Giron Jis Tarah Saya-E Dewaar Pe Dewaar Giray
Jo Tufano Mein Palte Ja Rahe Hain Wohi Dunya Badalte Ja Rahe Hain
Qarar Dil Ko Sada Jis Ke Naam Se Aya Wo Aya Bhi Tu Kisi Aur Kaam Se Aya
Falsafi Ko Behas Ke Andar Khuda Milta Nahi Dor Ko Suljha Raha Hai Aur Sira Milta Nahi
Ik Raat Wo Gaya Tha Jahan Baat Rok Ke Ab Tak Ruka Hoya Hun Wahen Raat Rok Ke
Kia Qeemat lagao Gy Meri Tum Mai Toh Khud Khudi mai Bika hua hun
Duniya Ki Riwayaat Se Begana Nahi Hon Chairo Nah Mujhe Main Koi Deewana Nahi Hon
Tum Ne Sach Bolnay Ki Jurrat Ki Yeh Bhi Toheen Hai Adalat Ki
Dolat Se Mohabbat To Nahi Thi Mujhe Lekin Bachon Ne Khilonon Ki Taraf Dekh Liya Tha
Lehrain Maar Jati Hai Thokar Aa Kar Tujhe Ae Sahil Kabhi Tu Bhi Kinare Se Kinara Kar Le
Wo Barghazida Sy Ley Kar Ajazi Tak Sab Ly Liye Jaty Thy Imtehan Meray
Shab Intzaar Ki Kashmakash Mein Nah Pooch Kaisay Sehar Hui Kabhi Ik Chairag Jala Diya Kabhi Ik Chairag Bujha Diya
Showing 420 of 853