2205 poems
Sab Ka Tu Madawa Kar Dala Apna Hi Madawa Na Kar Sake Sab Ke Tu Girayban See Daale Apna Hi Girayban Bhol Gaye
Nahi Aati Tu Yaad Un Ki Maheno Tak Nahi Aati Magar Jab Yaad Aate Hain Tu Aksar Yaad Aate Hain
Rakh Ke Munh So Gaye Ham Aatishen Rukhsaron Par Dil Ko Tha Chain Tu Neend Aa Gayi Angaron Par
Dil Par Dastak Dene Kon Aa Nikla Hai Kis Ki Aahat Suntan Hun Werane Mein
Kuch Ishare Thay Jinhen Dunya Samajh Bethay Thay Ham Is Nigah Aashna Ko Kya Samjh Bethay Thay HamRafta Rafta Ghair Apni Hi Nazar Mein Ho Gaye Wah Re Ghaflat Tuje Apna Samjh Bethay Thay Ham
Ya Tu Gham Mere Mizaaj Mein Rach Bas Gaye Hain Ya Dil Ko Ihtijaj Ki Aadat Nahi Rahi
Ajeeb Shakhs Hai Naraz Ho Ke Hansta Hai Main Chahta Hun Khafa Ho Tu Wo Khafa Hi Lagey
Pyar Ke Bandhan Khon Ke Rishte Tot Gaye Khwabon Ki Tarah Jagti Aankhein Dekh Rahi Thi Kya Kya Karobaar Hoye
Gaahe Gaahe Ki Mulaqat Hi Achi Hai Ameer Qadar Kho Deta Hai Har Roz Ka Aana Jana
Siyasat Mafadaat Mein Kho Gayi Hai Hukoomat Najane Kahan So Gayi HaiAwaami Masail Inhen Tab Dikhe Hain Ke Jab Un Ki Muddat Khatam Ho Gayi Hai
Dil Bojhal Aur Aankh Hai Nam Ay Gham e Zindagi! Tu Chahta Kya Hai?
So Milen Zindagi Se Soghaten Ham Ko Aawargi Hi Raas Ayi
Kanton Se Dil Lagao Jo Ta-Umar Sath Dein Pholon Ka Kya Jo Sans Ki Garmi Na Seh Sakain
Guftagu Dair Se Jari Hai Natejay Ke Beghair Ik Nai Baat Nikal Aati Hai Har Baat Ke Sath
Kesy Aa Sakti Hai Aesi Dil Nashin Dunya Ko Moot Kon Kehta Hai Ye Sab Kuch Fana Ho Jaye Ga
Dil Lagi Hai Aur, Ishq Hai Mushaqat Aur Boj Hai Kisi Pe, Kisi Ki Hai Sarwat AurApny Hoye Begaane Kahin Pe Kahin Hai Dushmano Ki Anayat Aur
Khud-Ba-Khud Shakh Lachak Jaye Gi Phal Se Bharpur Tu Ho Lene Do
Aaj Phir Bhuj Gaye Jal Jal Ke Umeedon Ke Chiragh Aaj Phir Taaron Bhari Raat Ne Dam Tor Diya
Aamir Kisi Ko Zulfen, Kisi Ko Pasand Aankhen Hai Jo Zair-e Lab Til, Hai Wo Jaan Kisi Ki
Aamer Dukh Diye Tum Ne Tu Kya, Sab Ne Diye Teri Soghat Ye Dolat Meri, Mera Ye Khayal Hai
Showing 1128 of 2193