Kuch Ishare Thay Jinhen Dunya Samajh Bethay Thay Ham

firaq-Gorakhpuri-ghazal-urdu

Kuch Ishare Thay Jinhen Dunya Samajh Bethay Thay Ham
Is Nigah Aashna Ko Kya Samjh Bethay Thay Ham

Rafta Rafta Ghair Apni Hi Nazar Mein Ho Gaye
Wah Re Ghaflat Tuje Apna Samjh Bethay Thay Ham

Hosh Ki Tofeeq Bhi Kab Ahl-E Dil Ko Ho Saki
Ishq Mein Apne Ko Dewana Samjh Bethe Thay Ham

Parda-E Azardagi Mein Thi Wo Jan-E Iltifat
Jis Ada Ko Ranjish Be Ja Samjh Bethay Thay Ham

Kya Kahen Ulfat Mein Raz Behasi Kyun Kr Khula
Har Nazar Kor Teri Dard Afza Samjh Bethay Thay Ham

Be-Niazi Ko Teri Paya Sara-Sar Soz O Dard
Tuj Ko Ik Dunya Se Begana Samajh Bethay Thay Ham

Inqalab Pey Ba Pey Har Gardish Dehar Dor Mein
Is Zameen O Aasman Ko Kya Samjh Bethay Thay Ham

Bhol Bethi Wo Nigah-E Nazi Ehad Dosti
Us Ko Bhi Apni Tabiyat Ka Samjh Bethay Thay Ham

Saaf Lagay Ham Ko Junoon Aashqi Ne Kar Dya
Khud Ko Tere Dard Ka Parda Samjh Bethay Thay Ham

Kan Bajte Hain Mohabat Ke Sakoot Naaz Ko
Dastan Ka Khatam Ho Jana Samjh Bethay Thay Ham

Baton Baton Mein Pyam-E Marg Bi A Hi Gaya
Un Nigahon Ko Hayat-E Afza Samajh Bethay Thay Ham

Ab Nahi Taab Sapaas Husn Is Dil Ko Jisay
Be Qarar Shikwa Beja Samjh Bethay Thay Ham

Aik Dunya Dard Ki Tasweer Nikli Ishq Ko
Kohin Aur Qais Ka Qissa Samjh Bethay Thay Ham

Rafta Rafta Ishq Manos Jahan Hota Chala
Khud Ko Tere Hijr Mein Tanha Samjh Bethay Thay Ham

Husn Ko Ik Husn Hi Samjhe Nahi Aur Aey Firaq
Meharban Na-Meharban Kya Kya Samjh Bethay Thay Ham

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments