Skip to content
SadPoetry
EN
Siyasat Mafadaat Mein Kho Gayi Hai

Siyasat Mafadaat Mein Kho Gayi Hai

Ghazal 7 couplets
  1. Siyasat Mafadaat Mein Kho Gayi Hai Hukoomat Najane Kahan So Gayi Hai

  2. Awaami Masail Inhen Tab Dikhe Hain Ke Jab Un Ki Muddat Khatam Ho Gayi Hai

  3. Naye Hkmran Aa Ke Yeh Boltay Hain Buri Thi Hukoomat Bohat Jo Gayi Hai

  4. Woh Bairooni Imdaad Ka To Bitayen Kahan Se Thi Aayi Kidhar Ko Gayi Hai

  5. Maeeshat Bhi Ab-tar Zaraat Bhi Ab-tar Museebat Nari Har Taraf Ho Gayi Hai

  6. Yahan Jo Bhi Party Qayadat Mein Aayi Woh "Ganga Mein Behti" Neha Dho Gayi Hai

  7. Dua Hai Yeh Ahsan Ke Ho Jaye Behtar Hamaari Jo Haalat Tabah Ho Gayi Hai

Submitted by Muhammed Ahsan

Report a mistake

More Urdu Ghazal

See all