The ghazal
Read it in Urdu script-
Ae kash kabhi woh waqt aeye Mein daur kahin kho jaoon
-
Woh dhoonday mujh ko nagar nagar Mein phir nah kabhi usay mil paon
-
Woh dhoonday mujh ko pani mein Mein barish ban kar beh jaoon
-
Woh beech samandar dhoonday phir Mein lehron mein hi kho jaoon
-
Woh dhoonday daur pahoron mein Mein pathar ka buut ban jaoon
-
Ae kash kabhi woh waqt aeye Mein daur kahin hon kho jaoon
-
Woh dhoonday kohistanon mein Mein barf ki terhan jim jaoon
-
Woh dhoonday nangay paon mujhe Pas daur kahin viranoon mein
-
Mein uskay paon ki dhool banon Par nah mil sakun mastanay ko
-
Woh thak ke khaali aankhon se Yun dekhe jab asmano ko
-
Mein daur kahin un taron mein Pas is ko dekh ke maskaon
-
Meri chahat pay jo hanstaa tha Pas betha ho ga begana yun
-
Ae kash kabhi woh waqt aeye Mein daur kahin kho jaoon
Submitted by salma hibib


