The ghazal
Read it in Urdu script-
Mil gaya sab kuch jahan mein tumhain panay ke baad Kya, kuch aur baqi hai sochta hon tumhain panay ke baad
-
Yeh kis neki ka sila hai, rab ki ataa hai mujh par Ke likh diya meri qismat mein tumhe bananay ke baad
-
Mein rothta hon barray pyar se mana layte ho tum mujhe Mein darta hon kon mnaye ga is terhan tairay jaanay ke baad
-
Rahay meri zindagi mein tera sath aakhri saans taq Bas ik yeh hi dua hai meri tumhe panay ke baad
Submitted by SAJID ALI


