Skip to content
SadPoetry
EN
Maa ki dua nahi baap ki shafqat ka saya nahi

Yateem

4 couplets
  1. Maa ki dua nahi baap ki shafqat ka saya nahi Mere muqaddar mein maa baap ka pyar to aaya nahi

  2. Mere haal se kisi ko hai nah koi bhi vaastaa Mujhe to muddaton se kisi ney beta ke kar bulaya nahi

  3. Mein ghar der se bhi loutoon to kisi ko kya farq parta hai Maa ke siwa kon poochay ga ke beta to ghar kyun aaya nahi

  4. Log barray shoq se manate hain –apne gharon mein khusihyan Mein ney to muddaton se kabhi eid ka jashnn bhi manaya nahi

Submitted by SAJID ALI

Report a mistake

More Baap Shayari

See all