2205 poems
Ham Se Rotha Bhi Gaya Ham Ko Manaya Bhi Gaya Phir Sabhi Naqsh Ta'luq Ke Mitaye Bhi Gaye
Sari basti qadmon main hai, ye bhi ik fankari hai Warna badan ko chor ke apna jo kuch hai sarkari hai
Hosla Kis Mein Hai Yusuf Ki Khredari Ka Ab Tu Mehngyi Ke Charche Hain Zulaikhaon Mein
Dil Ka Kya Hai Dil Ne Kitne Manzir Dekhe Lekin Aankhen Pagal Ho Jati Hain Aik Khayal Se Pehle
Kis Liye Mohsin Kisi Be Muhar Ko Apna Kahon Dil Ke Sheshy Ko Kisi Pathar Se Kyun Takraon Main
Dil ki manzil us taraf hai ghar ka rasta is taraf Aik chehra us taraf hai aik chehra is tara
Ab Tu Khud Apni Zarorat Bhi Nahi Hai Ham Ko Wo Bhi Din Thay Ke Kabhi Teri Zarorat Ham Thay
Apni dhun main rehta hun Main bhi tere jesa hun
Apny ghar ko wapis jao ro ro kar samjhata hai Jahan bhi jaon mera saya pechy pechy aata hai
Mein Bhi Bohat Ajeeb Hun Itna Ajeeb Hun Keh Bas Khud Ko Tabah Kar Liya Aur Malal Bhi Nahi
Aks o aaina main ab rabt ho kya tere baad Ham tu phirty hain khud apnay se khafa tere baad
Tofan-e gham-e ja'na guzar hi jaye ga dekhna hai hosla kitna badbaan main hai
Zabat Bhi Sabar Bhi Imkaan Mein Sab Kuch Hai Pehle Kam-Bakht Mera Dil Tu Mera Dil Ho Jaye
Kabi na kabi pora yeh khawab hota Tum sath hoty na koi hijab hota Jab apna wisaal hota koi na khalal parta Na rasm-e hina hoti na koi niqab hota
Bulbul Ke Karobar Pey Hain Khanda Hae Gul Kehte Hai Jis Ko Ishq Khalal Hai Dimagh Ka
Apna Rishta Zameen Se Hi Rakho Kuch Nahi Aasman Main Rakha
Kochay Ko Tere Chor Kar Jogi Hi Ban Jayen Gey Jungle Tere Parbat Tere Basti Teri Sehra Tera
Mohabat Karne Walon Ki Tajarat Bhi Anokhi Hai Manafa Chor Dete Hain Khasaray Baant Lete Hain
Ye Maza Tha Dil Lagi Ka Ke Brabar Aag Lagti Na Tujhe Qarar Hota Na Mujhy Qarar Hota
Auqat Ki Baat Mat Kijiye Aap Jese Rula Ke Aaya Hun
Showing 508 of 2193