2205 poems
Mere pass aisa talasum hai jo kai zamanon ka isam hai Usay jab bhi socha bula liya usay jo bhi chaha bana dia
Aik Qayamat ki khrashen tere sar pey sajain Aik mehshar meray andar se utha teray bad
Taras jati hain aankhein tere dedaar ko janaa Kuch lamhaat dedaar ke anayat kr mujhy
Dard minnat kash dawa nah hua Mein nah acha hua bura nah huaJama karte ho kyun rakiboon ko Ik tamasha sun-hwa gilah nah hua
Ghuman hai tere loat aany ka Dekh kitna bad-guman hon main
Kabhi baith mere samnay tujhe haal-e dil sunaye hum Tairay ban kaisay tarapty hain yeh bhi tujhe batlaye hum
Likhari ko us ke likhy ki gar daad nahi milti Tu us ko aur likhne ko koi baat nahi milti
Aik din dekhne ko aa jaty Ye hawas umar bhar nahi hoti
Sawal yeh hai jo cheez jaisay dikhti hai Usay waisay hi paish kyun nah kya jayeApne andar dabe awazon ko Bahar kyun nah laya jaye
Ab tak nhi samjh sake hain hum se tum kyun ruth baithe ho Chhupaye dil mein ghumon ka jahan tum baithey hoKhoye apne dil ka sukoon hum baithey hain Na jane hum khn gum baithey hain
Sab qatal ho ke tere muqabil se aaye hain Ham log surkharo hain ke manzil se aye hain
Aalam-e Mohabat Mein Ik Kamal Wehsaht MeinBe Sabab Rafaqt Mein Dukh Uthana Parta Hai
Ghalat thehra har koi meri pehchan mein Allag tasveer thi meri marey gumaan meinBigaar kar insaan is zameen ke khadd-o-khaal Talaash karta hai naya ghar aasman mein
Tere deed ke beghair kesi Eid Ham nahi mana sakte aesy Eid
Le chala jaan meri roth ke jana tera Aesy aany se tu behtar than a aana tera
Khud Tu Aya Nahi Aur Eid Chali Ayi Hai Eid Ke Roz Mujhe Yun Na Sataye Koi
Na pocho mujh se lazat-e khanman barbad rahny ki Nasheman sainkron main ne bana kr phonk dalay hain
Rooh chhalni chhalni Badan lahoo lahoo haiYeh jora naya nahi Mein ne karaya isay rafo hai
Mujh mein hain khamiyan yeh bta rahay hain Andhay mujhe aaina dikha rahay hainZulm hai ke khail qood ki umar mein Bachay baston ka boojh utha rahay hain
Aaj us shakhs se mera samna hoa Kab se tha mojood andar aaj aashna hoa
Showing 408 of 2193