853 poems
Dekha Jo Kha Ke Teer Kameen Gah Ki Taraf Apny Hi Doston Se Mulaqat Ho Gayi
Kisi Ke Janay Se Mujhe Koi Faraq Nahi Parta Lafaz Khuda Hafiz Se Mere Purany Marasm Hain
Aaj Meri Kalai Aik Ghari Se Bhi Mehroom hai Warna Main Tu Ik Shaks Ka Waqt Khredta Raha Hun
Aesi Tareekyan Aankhon Mein Basi Hai Ke Faraz Raat Tu Raat Hai Ham Din Ko Jalate Hain Chiragh
Nabeel Zrorat Is Qadar Aan Pari Ke Zarori Ham Bhi Ho Gaye
Rooh Qabzi Mein Bari Azeat Se Guzra Tha Tumhari Zaat Jo Atki Thi Ukhri Hoyi Sansoon Ke Sath
Wo Jo Khatam Hoyi Hai Wo Mohabat Hai Dhoke Baazon Ke Sath Jang Jaari Hai
Shikwa Koi Darya Ki Rawani Se Nahi Hai Rishta Hi Meri Pyaas Ka Pani Se Nahi Hai
Har Aadmi Mein Hotay Hain Das Bees Aadmi Jis Ko Bhi Dekhna Ho Kayi Baar Dekhna
Matti Ka Badan Kar Diya Matti Ke Hawalay Matti Ko Kahin Taaj Mehal Mein Nahi Rakha
Mujh Se Kya Baat Likhaani Hai Ke Ab Mere Liye Kabhi Sonay Kabhi Chandi Ke Qalam Atay Hain
Raat Bhar Un Ka Tasawwur Dil Ko Tarpaata Raha Aik Naqsha Samnay Aata Raha Jata Raha
Woh Waqt Bhi Aata Hai Jab Aankhon Mein Hamari Phirti Hain Woh Shakalain Jinhein Dekha Nahi Hota
Chehray Say Thakan Ab Tapakti Hai Keh Ik Arsa Gunahon Main Masroof Raha Hun
Chup Chaap Baithy Rehtay Hain Kuch Boltay Nahi Bachay Biggar Gaye Hain Bohat Dekh Bhaal Se
Tere Hote Hoye Aa Jati Thi Sari Dunya Aaj Tanha Hun Tu Koi Nahi Aane Wala
Koi Batlao Ke Ik Umer Ka Bichra Mehboob Itfaqan Kahin Mil Jaye Tu Kya Kehte Hain
Usay Gumaan Tha Ke Hazaron Milen Gey Mujh Jese Shakista Lota Tu Lipat Gaya Mujh Se Chup Chaap
Ishq Tujhe Tawaan Main Kya Chahye Meri Bazyabi Ke Liye Kya Jaan Chahye
Teri Bewafai Ka Gham Tu Nahi Magar Tu Bewafa Hai Dukh Ye Bhi Kam Nahi
Showing 380 of 853