2205 poems
Kabi Kabi Ankh Tar Hoti Hai Kushi Bhi Kahan Umar Bhar Hoti Hai
Phir Nazar Mein Phool Mehkay Dil Mein Phir Shammen Jalein Phir Tasawwur Ne Liya Is Bazm Mein Jane Ka Naam
Mujh Se Bichar Kar Kahan Wo Badla Ho Ga Itna Bara Dhoka De Kar Khud Kahan Wo Sambhla Ho Ga
Ik Tum Thay Ke Mayar Ke Pemaany Se Maapty Rahy Aur AIk Main Tha Keh Apna Aap Gira Kar Pesh Karta Raha
Un Ke Anay Ke Baad Bhi Jalib Dair Tak Un Ka Intezaar Raha
Aaina Waqt Dekhon Tu Yaad-e Maazi Ki Chand Jhurian Mere Chehray Pe Bhi Hain
Mera Tohfa Mera Dil Tha Tera Tohfa Faqat Ik Ghari
Dil Hijar Ke Dard Se Boujhal Hai Ab Aan Milo To Behtar Ho Is Baat Se Hum Ko Kya Matlab Yeh Kaisay Ho Yeh Kyun Kar Ho
Mujhe Thori Si Muhlat Chahye Main Baqi Sansain Bhi Luta Dun Ga
Is Nafs Ko Bhi To Qafas Ho Asli Mujrim Hai Mere Juram Ka
Jo Zindagi Bachi Hai Usay Mat Gawaye Behtar Yahi Hai Aap Mujhe Bhool Jaiye
Wo Jisay Tum Ne Masla Samajh Kar Hal Kar Dia Hai Haqeeqatan Wo Kisi Ki Zaat Hai Jisay Tum Ne Qatal Kar Dia Hai
Tujhi Par Kuch Ae Buut Nahi Munhasir Jisay Hum Ne Pooja Khuda Kar Diya
Tha Zindagi Mein Merg Ka Khatka Laga huwa Urnay Se Peshtar Bhi Mra Rang Zard Tha
Umar To Saari Kati Ishhq Butaan Mein Moman Aakhri Waqt Mein Kya Khaak Musalmaan Hon Gey
Shayad Wo Mohabbat Ki Koi Aur Qisam Chahta Tha Main Ne Usay Dil Diya, Mgar Wo Jisam Chahta Tha
Shumaar Us Ki Sakhavat Ka Kya Karen Ke Woh Shakhs Chairagh Baantta Phirta Hai Chean Kar Ankhen
Shak Rawan Ki Neher Hai Aur Hum Hain Dostoo Us Be Wafa Ka Shehar Hai Aur Hum Hain Dostoo
Aaj To Be Sabab Udaas Hai Jee Ishhq Hota To Koi Baat Bhi Thi
Main Bad-Dua Tu Nahi Dey Rahi Hun Us Ko Magar Dua Yehi Hai Usay Mujh Sa Ab Koi Na Milay
Showing 788 of 2193