Skip to content
SadPoetry
EN
Ayen Hath Uthayen Ham Bi — Faiz Ahmad Faiz

Rasm-e Dua Yaad Nahi

Faiz Ahmad Faiz 5 couplets
  1. Ayen Hath Uthayen Ham Bi Ham Jinhain Rasm-e Dua Yaad Nahi Ham Jinhain Soze Mohabat Ke Siwa Ham Jinhain But, Koi Khuda Yaad Nahi

  2. Ayen Arz Guzarain K Nigar Hasti Zuhr Amroz Mai Sherini Farda Bhar De Wo Jinhain Naab-e Giran Bari Iyam Nahi Un Ki Palkon Pe Shab o Roz Ko Halka Kar De

  3. Jin Ke Aankhon Ko Rukhe Subah K Yara Bi nahi Un Ki Raaton Mai Koi Shma Munwar Kar De Jin Ke Qadmon Ko Kisi Ro Ka Sahara Bi Nahi Un Ki Nazron Pe Koi Rah Ujagar Kar De

  4. Jin Ka Deen Perwi Kzb o Rya Hai Un Ko Himat Kufr Milay Jurat Tahqeq Milay Jin Ke Sir Muntazir Taigh-e Jafa Hai Un Ko Dast-e Qatal Ko Jtak Dene Ki Tofeeq Milay

  5. Ishq Ka Sar-e Niha Jan-e Tipan Hai Jis Se Aaj Iqrar Karain Aur Tapash Mit Jaye Harf-e Haq Dil Mai Khatakta Hai Jo Kantay Ki Tarah Aaj Izhar Krain Aur Khalash Mit Jaye

Report a mistake

More by Faiz Ahmad Faiz

All poems