853 poems
Is Ke Dushman Hain Bohat Aadmi Acha Hoga Woh Bhi Meri Hi Terhan Shehar Mein Tanha Hoga
Aaghaz Mohabat Ka Injam Bas Itna Hai Jab Dil Mein Tamna Thi Ab Dil Hi Tamana Hai
Jhoot kun bolain farogh-e maslihaat ke naam par Zindagi pyari sahi lekin hamain marna tu hai
Jahalton ke andheray mita ke lot aya Main aaj sarai kitabain jala ke lot aya
Aankhein noch li gyi, zuban kaat le gyi Par ab bhi mere hathon main raks-e qalam jari hai
Mujh ko ye hosh hi na tha, tu mere bazaon main hai Yani tujhy abhi talak main ne raha nahi kia
Teri sorat se hai aalim main baharon ko sabat Teri aankhon ke siwa dunya main rakha kia hai
Aik hi hadsa tu hai aur wo yeh ki aaj tak Baat nahi kahi gayi baat nahi suni gayi
Main waha hon jahan jahan tum ho Tum karo gey kahan kahan se guraiz
Mein khayaal hon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai Sar aaina mera aks hai pas-e aaina koi aur hai
Ik haqeqat sahi firdos main horon ka wajod Husn-e insaan se nimat lon to wahan tak dekhun
Log Toot Jatay Hain Aik Ghar Bananay Mein Tum Taras Nahi Khatay Bastiyan Jalanay Mein
Jab tak tere baray main likha tujhy acha laga Mauzo ke badalty hi tera mazaj bhi badla
Na Pane Se Kisi Ke Hai Na Kuch Khone Se Matlab Hai Ye Dunya Hai Isay Tu Kuch Na Kuch Hone Se Matlab Hai
Rehta Tha Samne Tera Chehra Khila Hua Parhta Tha Main Kitab Yehi Har Class Mein
Jawaz Koi Agar Meri Bandagi Ka Nahi Main Pochta Hun Tujhe Kia Mila Khuda Ho Kar
Meri Majrborian Kia Pochte Ho Ke Jene Ke Liye Majbor Hun Mein
Har Chand Baghola Muztar Hai Ik Josh Tu Is Ke Andar Hai Ik Wajad Tu Hai Ik Raqs Tu Hai Be Chain Sahi Barbad Sahi
Jhoot tu qatil thehra us ka kia rona Sach ne bhi insaan ka khon bahaya hai
Ghar ke bahir dhondta rehta hon dunya Ghar ke andar dunya dari rehti hai
Showing 140 of 853