853 poems
Aaj Dekha Hai Tujh Ko Dair Ke Baad Aaj Ka Din Guzar Na Jaye Kahin
Aankh Mein Pani Rakho Honton Pe Changari Rakho Zinda Rehna Hai Tu Tarkeben Boht Sari Rakhu
Dastak Tu Bari Baat Hai, Tum Jab Se Gye Ho Is Ghar Ke Darichon Se Hawa Tak Nahi Aati
Wafa Sha'ar Kayi Hain Koi Haseen Bhi Tu Ho Chalo Phir Aaj Usi Bewafa Ki Baat KreinRead Complete Ghazal
Mein Kisi Aur Zamane Ke Liye Hun Shayad Is Zamane Mein Hai Mushkil Mera Zahir Hona
Mein Bhi Usay Khone Ka Hunar Sekh Na Paya Us Ko Bhi Mujhe Chor Ke Jana Nahi Aata
Tuj Ko Jo Ya Jalwa Farma Na Dekha Brabar Hai Dunya Ko Dekha Na Dekha
Apni Sansain Bi Kar Don Teri Sanson Mein Muntaqil Is Se Zaida Tuje Aur Kis Tarah Chahon
Ya Tu Kisi Ko Jurat-E Deedar Hi Na Ho Ya Phir Meri Nigah Se Dekha Kare Koi
Khayal Jis Ka Tha Muje Khayal Mein Mila Muje Sawal Ka Jawab Bhi Sawal Mein Mila Muje
Jahan Mein Thi Bas Ik Afwah Tere Jalwon Ki Chiragh Der-O Haram Jilmalye Hain Kya Kya
Coat Or Patlon Jab Pehna Tu Mister Ban Gaya Jab Koi Taqreer Ki Jalse Mein Tu Leader Ban Gaya
Wo Khwab me bhi Nahi Mayas’sar HijaaB ki Inteha to Dekho
Zikar Shab-E Firaq Se Wahshat Usay Bhi Thi Meri Tarah Kisi Se Mohabat Usay Bhi Thi
Band Kar Ke Meri Aankhein Wo Shararat Se Hanse Bhoje Jane Ka Mein Har Roz Tamasha Dekhon
Kya Jane Kya Likha Tha Use Iztrab Mein Qasad Ki Lash Ayi Hai Khat Ke Jawab Mein
Kisi Ko Apne Amal Ka Hisab Kya Dete Sawal Sare Ghalat Thay Jawab Kya Dete
Teri Aankhon Mai Aansu Thay Meri Khatar Wo Ik Lamha Muje Zindagi Se Pyara Lga
Tiktiki Bandh Ke Mein Dekh Raha Hun Jis Ko Ye Bhi Ho Sakta Hai Wo Samne Betha Hi Na Ho
Raat Tu Waqt Ki Paband Hai Dhal Jaye Gi Dekhna Ye Hai Chiraghon Ka Safar Kitna Hai
Showing 580 of 853