853 poems
Azal Se Be simat Justuju Ka Safar Hai Darpaish Panyon Ko Kisy Khabar Kis Ko Dhondta Hai Meri Tarah Raygan Samandar
Mein Jahan Hun Tere Khayal Mein Hun Tu Jahan Hai Meri Nigah Mein Hai
Ajab Jalwa Numai Hai, Jidhar Dekhun Tumhi Tum Ho Mujhe Tu Aaine Mein Aks Bhi Mera Nahi Milta
Phir Meri Aankh Ho Gayi Ghamnak Phir Kisi Ne Mazaj Pocha Hai
Milte Hain Is Ada Se Keh Goya Khafa Nahi Kya Aap Ki Nigah Se Ham Ashna Nahi
Boot Dawson Ne Bnaya Mein Ne Ik Mazmoon Likha Mulk Mein Mazmoon Na Phela Aur Jota Chal Gaya
Muj Se Tu Pochne Aya Hai Wafa Ke Maeni Ye Teri Sada Dali Mar Ne Dale Muj Ko
Ek Naya Safha Roz Khulta Hy Zindagi Ek Kitaab Hy Piyary
Raat Ke Shayad Aik Baje Hain Sota Ho Ga Mera Chand
Hijar Ki Tanhai Kuch Yun Guzar Lete Hain Mukhtalif Zaviyon Se Selfie Utar Lete Hain
Hazar Barq Giray Lakh Aandhiyan Uthen Wo Phol Khil Ke Rahen Gey Jo Khilne Wale Hain
Jesi Ab Hai Aesi Halat Mein Nahi Reh Sakta Mein Hamesha Tu Mohabat Mein Nahi Reh Sakta
Jhoot Wale Kahin Se Kahin Barh Gaye Aur Mein Tha Ke Sach Bolta Reh Gaya
Kon Kehta Hai Waqt Dohrata Hai Apne Aap Ko Gar Ye Sach Hai Tu Mera Bachpan To Lotaye Koi
Kuch Tumhari Nigah Kafir Thi Kuch Mujhe Kharab Hona Tha
Kash Har Raat Ik Hi Manzar Ho Chand, Parbat, Ye Jheel Mein Aur Tum
Meri Sari Zindagi Ko Be Samar Us Ne Kya Umar Meri Thi Mgar Us Ko Basar Us Ne Kya
Ghamza Nahi Hota Keh Ishara Nahi Hota Aankh Un Se Jo Milti Hai Tu Kya Kya Nahi Hota
Khul Nahi Sakti Ab Aankhein Meri Ji Mein Ye Kis Ka Taswur Aa Gaya
Pagal Pan Ki Sari Likerain Mere Hath Main Kun? Jis Ku Chahon, Main Hi Chahon, Main Hi Chahon Kun?
Showing 600 of 853