853 poems
Ham Dono Ka Dukh Tha Aik Jesa Ihsaas Lekin Juda Juda Tha
Khuda Ko Kaam To Sonpay Hain Main Ne Sab Lekin Rahy Hai Khof Mujhe Waan Ki Be Niazi Ka
Ab Meri Koi Zindagi Hi Nahi Ab Bhi Tum Meri Zindagi Ho Kya
Hasratein Chor Aya Hun, Woh Rishtay Chor Aya Hun Ab Khud Se Aage Koi Bhi Hasrat Nahi Mujh Ko
Auron Se Kis Baat Ka Gila Karun Aakhir Keh Muyasir Khud Ki Bhi Nahi Suhbat Mujh Ko
Meri Zeesat Ko Nikharne Ka Tu Sama'n Ban Ja Meri Aankhon Se Utar Ja, Nam-e Mazgaan Ban Ja
Arsa Howa K Tujh Se Pyar Howa Tujhe Pehchany Hoye Kuch Pal Guzry
Ye To Kaho Kabhi Ishq Kiya Hai, Jag Main Hoye Ho Ruswaa Kabhi Us Ke Siwa Ham Kuch Bhi Na Pochen, Baaqi Baat Fazool Mian
Zulm Ke Hote Aman Kahan Mumkin Yaaro Isay Mita Kar Jag Mein Aman Bahaal Karo
Tu Apni Sheessha Gari Ka Hunar Na Kar Zaya Main Aaina Hun Mujhe Totne Ki Aadat Hai
Utaar Ke Libaada Safeedi Ka Main Bhi Apni Burayan Ayaan Karna Chahta Hun
Ibn-e Aadam Hon Khata Mere Khameer Main Hain Insaan Hon, Farishton Se Tu Nisbat Nahi Mujh Ko
Ab Taptay Hoye Sehraa Main Laho Kon Bahaye Hamar Muhabbat Ho Gayi Kamal Wird-e Wafa Karte
Aaamir Jab Zabat Tota Akhir Mera Naam Likha , Bhout Chuma Us Ne
Jane Walay Se Mulaqaat Nah Honay Payi Dil Ki Dil Mein Hi Rahi Baat Nah Honay Payi
Ehl-e Khurd Ko Aaj Bhi Apne Yaqeen Ke Liye Jis Ki Misaal Hi Nahi Us Ki Misaal Chahiye
Gulab Bhi Khoob Hai Lekin Mujhe Hai Pasnad Mehk Us K Hathon Ki Hinna Ki
Aankh Ke Is Ishare Se Kya Gul Us Ne Jal Raha Tha Jo Diya Itni Hawa Hote Hoye
Honton Ko Roz Ik Naye Darya Ki Aarzo Le Jaye Gi Ye Payas Ki Awargi Kahan
Khud Jo Soonpa Tuja Rutbaa Aala Zarfi Ka Main Bhala Kese Apni Hi Be Adabi Karta
Showing 320 of 853