853 poems
Toot Sa Gaya Hai Meri Chahaton Ka Wajood Ab Koi Acha Lagay Tu Izhaar Nahi Karte
Sab Diye Ham Ne Khud Bhuja Daale Ab Hawayon Se Darn Ahi Lagta
Dono Hi Jaante Hain Aur Dono Ko Pata Hai Lekin Aik Kehny Se Garaizaan Or Aik Ko Izhaar Se Dar Lagta Hai
Log Dete Rahy Kya Kya Na Dilase Mujh Ko Zakhm Gehra Hi Sahi Zakhm Hai Bhar Jaye Ga
Hazar Chehry Hain Mojod Aadmi Ghayab Ye Kis Kharaby Main Dunya Ne La Ke Chor Diya
Mein Ne Jin Ke Liye Rahon Mein Bichaya Tha Laho Ham Se Kehty Hai Wohi Ehad-E Wafa Yaad Nahi
Mere Ham-Sukhn Ka Ye Hukam Tha Ke Kalam Us Se Mein Kam Karon Mere Hont Aese Silay Ke Phir Meri Chup Ne Us Ko Rula Diya
Mere Rone Ka Jis Mein Qissa Hai Umar Ka Behtreen Hissa Hai
Wo Jo Kehta Tha Kuch Aitbaar Karo Aamir Mera Mohsin Ban K Mujhe Loota Us Ne
Yaad Rakhna Hi Mohabat Mein Nahi Hai Sab Kuch Bhol Jana Bhi Bari Baat Hoya Karti Hai
Mujhe Pholon Pe Bhi Neend Na Aye Gi Mera Markaz Mera Mehwar Teri Aghosh Hai Aj
Ham Hai Sokhe Hoye Talab Pe Bethay Hoye Hans Jo Taluq Nibahte Hoye Mar Jaate Hain
Wo Jo Haal-e Zaman Dekh Kar Cheekhti Thi Roti Thi Main Ne Khud Wo Gonjti Aawaz Hai Sula Dali
Tujhe Tu Raaj Karway Chahay Meera Ghar Nahi Bana Main Tere Liye Dar Hi Bana Kabhi Dewaar Nahi Bana
Ab Ki Bar Jab Main Aya Chor Kar Wo Roty Rahy Koi Or Bhana Kar K
Buhat Chup Chap Jeena Bhi Bara Pur Soz Hota Hai
Ye Saaneha To Kisi Din Guzarne Wala Tha Main Bach Bhi Jata To Ik Roz Marne Wala Tha
Shehr Ko Teri Justaju Hai Bohat In Dino Ham Pey Guftagu Hai Bohat
Ik Aur Darya Ka Saamna Tha Munir Mujh Ko Main Aik Darya Ke Par Utra To Main Ne Dekha
Ham Jaan Fida Karte, Gar Waada Wafa Hota Marna Hi Muqadar Tha, Wo Aate Tu Kya Hota
Showing 300 of 853