2205 poems
Roz-e Hisab Jab Mera Pesh Ho Daftar-e Amal Aap Bhi Sharam-Sar Ho Muj Ko Bhi Sharam-Sar Krein
Insha Ji Utho Ab Kooch Karo Is Shehr Mein Ji Ko Laga Kya Wehshi Ko Sakonn Se Kya Matlab Jogi Ka Nagar Mein Thikana Kya
Kisi Bewafa Ki Khatar Ye Junon Faraz Kab Tak Ju Tumhain Bhol Chuka Hai Usay Tum Bi Bhol Jao
Usay Trahsa K Hera Bna Dia Ham Ne Faraz Magar Ab Ye Sochte Hain Usay Khredain Kesay
Tu Ne Dekha Hai Kabi Aik Nazar Shaam Ke Baad Kitne Chup Chap Se Lagte Hain Shajar Shaam Ke BaadItne Chup Chap Ke Raste Bhi Rahen Gey La-ilm Chor Jayen Gey Kisi Roz Nagar Shaam Ke Baad
Ye Dunya Matlab Ki Hai Tum Kis Mukhlis Ki Baat Karte Ho Log Janaza Parhne Aate Hain Wo Bi Apne Sawab Ki Khatir
Guftagu Achi Lagi Zoq-e Nazar Acha Laga Mudaton Ke Ba'ad Koi Hamsafar Acha Laga
Gar Bazi Ishq Ki Bazi Hai Jo Chao Laga Do Dar Kesa Gar Jeet Gye Tu Kya Kehne, Haare Bhi Tu Bazi Maat Nahi
Ik Pal Mai Jo Barbad Kar Dete Hain Dil Ki Basti Ko Faraz Wo Log Dekhne Mai Aksar Masom Hote Hain
Aik Soraj Tha Ke Taaron Ke Gharane Se Utha Aankh Heran Hai Kya Shakhs Zamane Se Utha
Jurtay hoye dekha nahi totay hoye dil ko Gir jayen jo ansu to uthaye nahi jatay
Jalaye Rakhon Gi Subah Tak Mein Tumhare Raste Mein Apni Aankhein Magar Kahin Zabt Tor Jayen Tu Barishain Bhi Shumar Karna
Dayam Aabad Rahe Gi Dunya Ham Na Hon Ge Koi Ham Sa Ho Ga
Hmain Soorat Se Kia Matlab Ham Serat Par Marte Hain Usay Kehna Tumhara Husn Jab Dhal Jaye To Lot Ana
Chal Diye Soye Haram Koye Batan Se Momin Jab Diya Ranj Buton Ne Tu Khuda Yaad Aya
Ulti Ho Gayi Sab Tadberain Kuch Na Dava Ne Kam Kia Dekha Is Bemari-e Dil Ne Aakhir Kaam Tamam Kia
Aik Hamen Awara Kehna Koi Bara Ilzaam Nahi Dunya Wale Dil Waloon Ko Aur Bhi Bohat Kuch Kehte Hain
Raat Hai Andhairi Bohat Ik Dia Hi Jila De Koi Main Barson Ka Jaga Hoon Muje Sula De Koi
Jafa jo ishq main hoti hai wo jafa hi nahi Sitam na ho tu muhabat main kuch maza hi nahi
Hazaron Saal Nargis Apni Be Nori Pe Roti Hai Bari Mushkil Se Hota Hai Chaman Mein Deda War Paida
Showing 1768 of 2193