2205 poems
Malboos Khush Numa Hain Mgar Jisam Khokly Chilkay Sajay Hon Jese Phalon Ki Dukan Par
Kis Liye Wo Shehr Ki Dewaar Se Sar Phorta Qais Dewana Sahi Itna Bhi Dewana Na Tha
Kal Jinhain Choo Nahi Sakti Thi Farishton Ki Nazar Aaj Wo Ronaq-e Bazaar Nazar Aate Hain
Aik Din Keh Li Jiye Jo Kuch Hai Dil Mein Aap Ke Aik Din Sun Li Jiye Jo Kuch Hamare Dil Mein Hai
Niyaz-o-Naaz Ke Jhagre Mitaye Jate Hain Ham In Mein Aur Wo Ham Mein Samaya Jate Hain
Kisi Bhi Waqt Badal Sakta Hai Lamha Koi Is Qadar Khush Bhi Na Ho Meri Preshani Par
Doston Ko Bhi Milay Dard Ki Dolat Ya Rab Mera Apna Hi Bhala Ho Mujhe Manzoor Nahi
Is Gulistan Mein Bohat Kaliyan Mujhe Tarpa Gayen Kyun Lagi Thi Shakh Mein Kyun Bey Khilay Murjhaa Gayen
Teri Rooh Mein Sanata Hai Aur Meri Aawaz Mein Chup Tu Apnay Andaaz Mein Chup Hai, Mein Apnay Andaaz Mein Chup
Bewafai Ki Sab Kitaabon Mein Tumhare Jese Koi Misaal Nahi
Zamane Ka Sahara Tu Bzahar Ik Dikhawa Hai Haqeqat Main Muje Mera Khuda Girne Nahi Deta
Ik Shakhs Dekha Hai Main Ne Aaine Mein Khafa Dunya Se Hai Kalam Khud Se Bhi Nahi Karta
Ana Ke Qaid Khane Ka Mein Wo Baghi Sa Mujram Hon Jise Phansi Charha Dala Mohabat Ke Wakelon Ne
Bichray Yun Ke Rait Peh Gum Sum Bethay Bethay Us Ne Mera, Mein Ne Us Ka Jurm Likha
Mosam, Kushbu, Bad e Saba, Chaand, Shafaq Aur Taaron Mein Kon Tumhare Jesa Hai Waqt Mila Tu Sochen Gey
Khudi Ko Meeri Raddi Ki Tokri Bna Diya Bacha Jo Teera Waqat Tu Us Main Gira Diya
Hath Paon Bhi Bataty Hain Ke Mazdoor Hun Main Aur Malboos Bhi Kehta Hai Ke Majboor Hun Main
Chand Sansein Khredne Ke Liye Zindagi Roz Bechta Hun Tujhe
Mere Dil Se Us Ki Yaadain Mita De Jiye Main Chekhon Chalaon Ga Magar Intibah Na KijiyeMujh Pey Zulmon Sitam Ki Inteha Kijiye Magar Khuda-ra Is Maslay Ka Hal Nikaal Di-jiye
Pyas Wo Dil Ki Bujane Kabi Aya Bi Nahi Kesa Badal Hai Jis Ka koi Saya Bi NahiBe Rukhi Is Se Bari Aur Bhla Kia Ho Gi Ik Mudat Se Hmain Us Ne Staya Bi Nahi
Showing 888 of 2193