The ghazal
Read it in Urdu script-
Pyas Wo Dil Ki Bujane Kabi Aya Bi Nahi Kesa Badal Hai Jis Ka koi Saya Bi Nahi
-
Be Rukhi Is Se Bari Aur Bhla Kia Ho Gi Ik Mudat Se Hmain Us Ne Staya Bi Nahi
-
Roz Aata Hai Dar-e Dil Pe Wo Dastak Dene Aaj Tak Ham NE Jise Pass Bulya Bi Nahi
-
Sun Liya Kese Khuda Jane Zmane Bhar Ne Wo Fsana Jo Kabi Ham Ne Sunya Bi Nahi
-
Tum Tu Shayar Ho Qateel Aur Wo Ik Aam Sa Shakhs Us Ne Chaha Bi Tuje Aur Jtaya Bi Nahi



