2205 poems
Kabhi Aey Haqeqat-e Muntarzi Nazar Aa Libas-e Majaz Main Ke Hazaron Sajday Tarap Rahay Hain Meri Jabeen-e Niaz Main
Na koi gham khazan ka hai na hai khwahish baharon ki Hamary sath hai amjad kisi ki yad ka mosam
Thak Gaya Aashiq Mohabat Ki Laash Uthaty Uthaty Dil Hai Ke Janaza Parhta Hi Nahi
Doobtay Doobtay Kashti Ko Uchala De Doon Main Nahi Koi Tu Sahal Peh Utar Jaye GaZabt Lazim Hai Magr Dukh Hai Qayamat Ka Faraz Zalim Ab Ke Bi Na Roye Ga Tu Mar Jaye Ga
Main Bhi Kuch Khush Nahi Wafa Kar Ke Tum Ne Bhi Acha Kia Nibah Na Ki
Is Shehr-e Khrabi Main Gham-e Ishq K Mare Zinda Hain Yehi Baat Bari Baat Hai PyareHasrat Hai Koi Ghuncha Hmain Pyar Se Dekhe Arman Hain Koi Phol Hmain Dil Se Pukare
Log Yun Dekh Ke Hans Dete Hain Tu Muje Bhol Gya Hu Jese
Wo Aaj Bhi Sadiyon Ki Musafat Pey Khara Hai Dhonda Tha Jisy Waqt Ki Dewaar Gira Kar
Maan Ki Dua Na Baap Ki Shafqat Ka Saya Hai Aaj Apny Sath Apna Janam Din Manaya Hai
Kaha Tha Kis Ney Ke Ehd e Wafa Karo Us Se Jo Yun Kiya Hai To Phir Kyun Gilah Karo Us SeNaseeb Phir Koi Tqrib Qurb Ho Ke Nah Ho Jo Dil Mein Hon, Wohi Bateen Kaha Karo Us Se
Baal Apny Barhaty Hain Kis Wastay Dewany Kya Shehr Mohabat Main Hajam Nahi Hota
Har Aik Kaante Pe Surakh Kirnain Har Ik Kali Mein Chiragh Roshan Khayal Mein Muskarane Wale Tera Tabssam Kahan Nahi Hai
Yaqeen Na Aye Tu Ik Bar Poch Kar Dekho Jo Hans Raha Hai, Wo Zakhmo Se Chor Nikle Ga
Main Chahta Hun Haqeeqat Pasand Ho Jaon Magar Hai Is Mein Ye Mushkil Haqeqatain Hain Bohat
Tum Meri Taraf Dekhna Choro Tu Bataon Har Shakhs Tumhari Hi Taraf Dekh Raha Hai
Kis Liye Dekhti Ho Aaina Tum To Khud Se Bhi Khobsorat Ho
Jab Nazaray Thay Tu Aankhon Ko Nahi Thi Parwa Ab Inhi Aankhon Ne Chaha Tu Nazaray Nahi Thay
Hai Dua Yaad Magar Harf-E Dua Yaad Nahi Mere Naghmaat Ko Andaaz Nawa Yaad Nahi
Nabeel Aayen-e Ishq Main Bhi To Ik Tarmeem Honi Chahye Khel Ke Dil Torne Ki Nahi Morne Ki Reet Honi Chahye
Haseen Teri Aankhien Haseen Tere Aansu Yehin Dob Jane Ko Jee Chahta Hai
Showing 528 of 2193