The poem
Read it in Urdu script-
Dekha Aina Tu Phir Jazbon Ka Yun Izhar Hoa Wo Shakhs Phir Se Mere Samne Ashkbar Hoa
-
Dukh Mai Raat Kati Tu Swera Bi Madham Sa Rha Tanhiyon Ke Sog Ka Charcha Bi Shmar Hoa
-
Bare Wasoq Se Rakha Tha Rabt Unki Aankhon Se Wo Jo Lamha Judai Ka Tha Phir Kun Be Qarar Hoa
-
Un Se Milne Ki Tmna Mai Jo Thi Zindagi Guzri Phir Yun Jan Ham Ne Luta Di Thi K Na Intezaar Hoa
-
Jo Ishq Ham Ne Kya Tha Us Ka Aalam Mat Pocho Mita Dya Khud Ko Ham Ne K Mohabat Ka Karobar Hoa
Submitted by Shabeeb Hashmi

