853 poems
Dafan Kar Sakta Hun Sene Mein Tumhare Raaz Ko Aur Tum Chaho Tu Afsana Bna Sakta Hun Mein
Meri Qismat Mai Gham Gar Itna Tha Dil Bi Ya Rab Kai Diye Hote
Wo Tu Khushbu Hai Hawaon Mein Bikhar Jaye Ga Masla Phol Ka Hai Phol Kidhr Jaye Ga
Wo Aa Rahe Hain Wo Aate Hain Aa Rahe Hun Gey Shab-e Firaq Ye Keh Kar Guzar Di Ham Ne
Kisi Se Juda Hona Agar Itna Asan Hota Faraz Tu Jism Se Roh Ko Lene Kabi Farishte Nahi Aate
Ab Ke Is Bazam Mein Kuch Apna Pata Bhi Dena Paon Par Paon Jo Rakhna Tu Daba Bhi Dena
Aate Aate Mera Naam Sa Reh Gaya Us Ke Honton Peh Kuch Kanpta Reh Gaya
Shayad Tu Kabi Pyasa Meri Tarf Lot Aye Faraz Aankhon Mein Liye Phirta Hon Darya Teri Khatir
Ae Shoq e Nazara Kya Kehye Nazron Mein Koi Surat Hi Nahi Ae Zoq Tasawur Kya Kejiye Ham Sorat E Jana Bhol Gaye
Ik Baar Aur Dekh Kar Azad Kar De Muje Mohsin K Main Aaj Bi Teri Pehli Nazar Ki Qaid Main Hon
Raushni Hoti Nahin Aur Dhuwaan Uthta Hai Ye Charagon Ka Badan Aise Jalaya Kis Ne?
Baadlon Ke Shahr Ki Har Ik Gali Ko Hai Khabar Dhoop Ki Gori Hatheli Choom Kar Aaya Hun Main
Na Jaane Kitni Muddat Se Hai Dil Mein Ye Amal Jari Zara Si Thes Lagti Hai Zara Sa Toot Jata Hai
Dost Ban Kar Bhi Nahi Sath Nibahne Wala Wohi Andaaz Hai Zalam Ka Zamane Wala
Tuj Ko Khabar Nahi Mgar Ik Sadah Loh Ko Barbad Kar Dia Tere Do Din Ke Pyar Ne
Apne Liye Ab Aik Hi Rah-E Nijat Hai Har Zulm Ko Riza-E Khuda Keh Liya Karo
Ab Tak Meri Yaadon Se Mitaye Nahi Mit'ta Bhegi Hoyi Ik Sham Ka Manzar Teri Aankhen
Nahi Nahi Ye Khabar Dushmano Ne Di Ho Gi Wo Aye Aa Ke Chale Bhi Gaye Milay Bhi Nahi
Tere Qol-o Qarar Se Pehle Apne Kuch Aur Bhi Sahare Thay
Yun Mere Sath Dafan Dil Be-Qarar Ho Chota Sa Ik Mazar Ke Andar Mazar Ho
Showing 640 of 853