853 poems
Darta Hun Pagal Hi Na Kar Dalain Raat, Sumandar, Chand, Safar Aur Ye Khamoshi
Us Ko Aana Tha Ke Wo Mujh Ko Bulata Tha Kahin Raat Bhar Barish Thi, Us Ka Raat Bhar Pegham Tha
Bint-e Hawa K Narm Lehje Ne Ibn e Adam Bigar Rakhy Hain
Bas Panchi Urne ke Qabil Ho Jayen Mangi Hai Itni Si Muhlat Pairon Ne'Pairon' = Trees
Dabo Di Thi Jahan Tufan Ne Kashti Wahan Sab Thay Khuda Kya Na Khuda Kya
Aap Ko Aata Raha Mere Satane Ka Khayal Sulah Se Achi Rahi Muj Ko Larai Aap Se
Kon Preshan Hota Hai Tere Gham Se Faraz Wo Apni Hi Kisi Baat Pe Roya Ho Ga
Milne Aata Hai Roz Gham Mujh Se Us Ne Dekha Hoya Hai Ghar Mera
Wo Shajar Be-Samar Nahi Rehte Jo Kisi Aas Par Nahi Rehte
Baton Ap Ko Marne Ke Baad Kya Ho Ga Plao Khayen Gey Ahbab Fatiha Ho Ga
Main Takye Par Sitare Bo Raha Hun Janam Din Hai Akela Ro Raha Hun
Apne He Samne Dewaar Bna Betha Hun Hai Ye Anjam Usay Raaste Se Hata Dene Ka
Kash Us Ke Ru-Ba-Ru Na Krein Muj Ko Hashar Mein Kitne Mere Sawal Hain Jin Ka Nahi Jawab
Us Na Khuda Ke Zulm-o Sitam Haye Kiya Karon Kashti Meri Daboyi Hai Sahal Ke Aas Paas
Mein Ne Sadyon Guzarna Hai Tuje Tu Mera Aakhri Zamana Hai
Masrofiat Mein Aati Hai Be-Had Tumhari Yaad Fursat Mein Teri Yaad Se Fursat Nahi Milti
Bole Tu Sahi Jhot Hi Bole Wo Bla Se Zalam Ka Lab-o Lehja Dil Aawez Bohat Hai
Jahan Rahe Ga Wahen Roshni Lutaye Ga Kisi Chiragh Ka Apna Makan Nahi Hota
Jag Mein Aa Kar Idhar Udhar Dekha Tu Hi Aya Nazar Jidhar Dekha
Apna Zamana Aap Banate Hai Ahl-E Dil Ham Wo Nahi Ke Jin Ko Zamana Bna Gya
Showing 620 of 853