2206 poems
December Ki Bhegi Shamon Main Kali Lambi Raaton MainTeri Yaad Hamrah Ho Tu Shamain Yun Hi Guzr Jayen
Zammana jab se jadeed ho gya hai Dilon main gham bhi shadeed ho gya hai Zamana bohat taraqi kar chuka hai lekin Bhok ka dar bhi mazeed ho gya hai
Main Mohabbat Ka Saza Yaafta Mujram Hun Danish Saalon Ki Qaid Khayal-e Yaar Mein Kaat Chuka Hun
Tu Intkhab-e Rang Mai Masrof Aur Idhar Koir Tere Junon Mai Siah Posh Ho Gya
Kaha is ne ke shaakhon se Juda phoolon ko karne kiHawaon ki jo saazish hai Usay achi nahi lagtiFaqat ik pal ko jee chaha
Tumhari yaado ke phool Ab tak tar o taaza hainMere dil ke aangan mein Ab tak ugg rahay hain
Majborion Ke Naam Pe Daman Chura Gaye Wo Log Jin Ki Mohabaton Mein Da’away Hazar Thay
Bura tha ya bhala jaisa bhi tha rakha gaya tha Tumhi keh do hamara naam kya rakha gaya thaTum apne aap mein thay barhaman, shudder thay hum hi Jbhi to beech mein yeh faasla rakha gaya tha
Aag They Ibtadye Ishq Mein Ham Ho Gaye Khak Intiha Ye Hai
Tamam log akailey, koye rehbar hi na tha Bicharnay walon mein ik mera hamsafar hi na thaBarhana shakhon ka jungle gara tha aankhon mein Woh raat thi ke kahin chand ka guzar hi nah tha
Aik dafa mere qadam se qadam mila ka chalo Tum zara do ghari sath tu nibha ke chaloMana safar kathan aur rasta bohat dushwaar hai Hath tham lo, mujh py yaqeen bna ke chalo
Baloch qom ke bachy hoye hain gum aisy Har ik shakhs yahan haye satpata ke rahaBacha ke dil ki zameen ko rakha tha main ne rasheed Ghamon ka abar mery aasman py cha ke raha
Har nasal warasat main khazeeny nahi deti Aulaad bhi kya cheez hai jeeny nahi deti
Tere jaisa nahi koi jo chani yeh jahan mein ne Ke to hai hoor jannat ki jo lipti hai hijaboon meinJo khilta hai tra chehra tri muskaan se to phir Koi sani nahi hota tery jaisa gulabon mein
Baharain phir se aayengi, hawayain phir wohi hongi khizaan Mai Jo gir Gaye pattay ,dubara phir nahi hongayKaliyan muskurayegi, sadbargh phir naye hongay Patjhad Mai murjha Gaye Jo phool, dubara phir nahi hongay
Milti Nahi Pnah Hmain Jis Zmain Par Ik Hashr Us Zameen Pe Utha Dena Chahiye
Khilta tha jis main kabhi tamanna ka shagofa Khirki wo bari dair se weeran pari hai
Mohabat Hath Main Pehni Hoi Chori Ki Manind Hai Sanwarti Hai Khankti Hai Khanak Kar Tot Jati Hai
Cigarette ke dhuwen mein khans raha tha main Apne aap ko dhondtay hue haanp raha tha mainSochte sochte dimagh mera band honay hi laga tha Haalat ko apni dekh kar kanp rha tha mein
Ab Tu Un Ki Yaad Bhi Nahi Aati Kitni Tanha Ho Gyi Tanhiyan
Showing 68 of 2194