2205 poems
Bachpan Ki Wo Ameeri Na Janay Kahan Chali Gayi Jab Paani Main Hamare Bhi Jahaaz Chala Kartay Thay
Rehny Do Ab Ke Tum Bhi Mujhy Parh Na Sako Gey Barsaat Main Kaghaz Ki Tarah Bheg Gaya Hon Main
Is Gali Se Kabhi Mujhy Maan Ne Guzara Na Tha Lagta Tha Jese Bazaar Ye Khilono Ka Tha
Aadhay To Hain Dushman Tere, Aur Aadhay Mere Raqeeb Hain Kuch Hosla Dey Waqat Mujhy Keh Samjhny Ko Ye Qissa Ajeeb Hai
In Main Laho Jala Ho Hamara Keh Jan-o Dil Mehfil Main Kuch Chiragh Firozan Hoye Tu Hain
Ya Rab Meri Maa Ko La Zawaal Rakhna Mein Rahon Nah Rahon Meri Maa Ka Khayaal Rakhna Meri Khusihyan Bhi Le Lo Meri Sansen Bhi Le Lo Magar Meri Maa Ke Gird Sada Khoshion Ka Jaal Rakhna
Aankh Ashkbaar Sahi, Dil Yeh Guneh-gaar Sahi Bandah To Tera Hon, Bandah Yeh Khata-kaar Sahi
Abhi Jawani Baqi Hai Abhi Zindagani Baqi Hai Aja Ae Sanam Ke Abhi Kahani Baqi HaiNaye Zakham Uthany Ki Taab Kahan Abhi Wohi Choat Purani Baqi Hai
Masjid Dha De Mandar Dha De Dhenda Jo Kuch Dha De Ik Banday Da Dil Na Dhawain Rab Dilan Wich Rehnda
Mujh Pey Nazren Jamaye Kuch Sochte HoyeApne Nakhnon Ko Danton Se Kat'te Hoye
Maaen Sukh Ki Chaon Jaisi Hoti Hain Dukh Mein Sard Hawaon Jaisi Hoti HainDay Kar Apni Khusihyan Dukh Sah Layte Hain Yeh Maqbool Duaon Jaisi Hoti Hain
Yun Bhi Hota Hai Ke Yak Dam Koi Acha Lag Jaye Baat Kuch Bhi Na Ho Aur Dil Mein Tamasha Lag Jaye
Shirtain Lgayi Jati Nahi Dosti Ke Sath Kijiye Mujhe Qabol Meri Har Kami Ke Sath
Toot Sa Gaya Hai Meri Chahaton Ka Wajood Ab Koi Acha Lagay Tu Izhaar Nahi Karte
Sab Diye Ham Ne Khud Bhuja Daale Ab Hawayon Se Darn Ahi Lagta
Main Ne Maan Se Pocha Kab Tak Apny Kandhy Par Sar Rakhny Dain GiMaan Muskrayen Or Kaha, Jab Tak Log Mujhe Apny Kandhay Par Na Utha Lein
Dono Hi Jaante Hain Aur Dono Ko Pata Hai Lekin Aik Kehny Se Garaizaan Or Aik Ko Izhaar Se Dar Lagta Hai
Log Dete Rahy Kya Kya Na Dilase Mujh Ko Zakhm Gehra Hi Sahi Zakhm Hai Bhar Jaye Ga
Lo Apna Jahan Dunya Walo, Ham Is Dunya Ko Chor Chale Jo Rishte Natay Jore Thay, Wo Rishte Natay Tor ChaleKuch Sukh K Sapne Dekh Chale, Kuch Dukh Ke Spne Jhel Chale Taqdeer Ki Andhi Gardish Ne Jo Khel Khlaye Khel Chale
Ye Bhi Mumkin Nahi Ke Us Ne Dhonda Nahi Ho Ga Mujhy Baat Ye Bhi Sach Thi Ke Wo Cheezain Rakh Kr Bhol Jati Thi
Showing 688 of 2193