Skip to content
SadPoetry
EN
Is Shehr-e Khrabi Main Gham-e Ishq K Mare — Habib Jalib

Bari Baat Hai Pyare By Habib Jalib

Habib Jalib Ghazal 4 couplets
  1. Is Shehr-e Khrabi Main Gham-e Ishq K Mare Zinda Hain Yehi Baat Bari Baat Hai Pyare

  2. Hasrat Hai Koi Ghuncha Hmain Pyar Se Dekhe Arman Hain Koi Phol Hmain Dil Se Pukare

  3. Har Subah Meri Subah Pe Roti Rehi Shabnam Har Raat Meri Raat Pe Hanste Rahe Tare

  4. Kuch Aur Bi Hain Kam Hmain Ae Gham-e Jana Kab Tak Koi Ulji Hui Zulfon Ko Sanware

Report a mistake

More by Habib Jalib

All poems