853 poems
Tamashbeni ke kothay main rooh dafna ke aya hon Main bari mushkil se apni laash utha ke laya hon
Ab Aur Kya Kisi Se Marasam Barhyen Ham Ye Bhi Bohat Hai Tuj Ko Agar Bhol Jayen Ham
Mohabat Ke Gharon Ke Kache Pan Ko Ye Kahan Samjhen In Aankhon Ko Tu Bas Aata Hai Barsaten Bari Karna
Sabi Kuch Ho Chuka Un Ka Hamara Kya Raha Hasrat Na Dein Apna, Na Dil Apna, Na Jan Apni, Na Tan Apna
Jab Milo Kisi Se Tu Zara Door Ki Yaari Rakhna Jaan Lewa Hote Hain Aksar Sene Se Lagane Wale
Khatar Se Ya Lihaz Se Mein Maan Tu Gya Jhoti Qasam Se Aap Ka Emaan Tu Gya
Tu Saamne Hai Tu Phir Kyn Yaqeen Nahi Aata Ye Bar Bar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain
Hamary armaano se sajao, shah-e wqat aur mehal banao Apna to foot path thikana, dekh ke hmain mat sharmao
Ye Rim Jhim, Ye Barish, Ye Aawargi Ka Mosam Hamare Bas Mein Hota Tere Pass Chale Aate
Chalay thy jinhain dekh kr kehny laga bacha Baba mere hathon main sitary to nahi hain
Tum Hmare Kisi Tarah Na Hoye Warna Dunya Mai Kya Nahi Hota
Isi Khandar Mein Kahin Kuch Diye Hain Tote Hoye Inhein Se Kam Chalao Bari Udas Hai Raat
Khak ko khak le uri sayam Takubar reh gya wehain ka wehain
Chaba Lain Kun Na Khud Hi Apna Dhancha Tumhain Ratab Muhaya Kyun Krein Ham
Aya Hi Tha Abi Mere Lab Pe Wafa Ka Naam Kuch Doston Ne Hath Mein Pathar Uta Liye
Na janay kon sa aasaib dil main basta hai Keh jo bhi thehra wo aakhir makan chor gaya
Le De Key Apne Pass Faqt Aik Nazar Tu Hai Kun Dekhen Zindagi Ko Kisi Ki Nazar Se Ham
Yahan mazdoor ko marne ki jaldi kuch yun bhi hai mohsin Keh zindagi ki kashmakash main kafan mehnga na ho jaye
Dekha kitab e ishq ke awraaq khol kar Awal bhi tera naam tha, aakhir bhi tera naam
Aflaas ki basti main jaa kar tu dekho Wahan bachy to hoty hain magar bachpan nahi hota
Showing 180 of 853