853 poems
Tujhe bhol jana tu mumkin nahi hai Magar bhol jane ko ji chahta hai
O dil toar ke jane walay dil ki baat batata ja Ab mein dil ko kya samjhaao mujh ko bhi samajhata ja
Woh baat saaray fasanay mein jis ka zikar nah tha Woh baat un ko bohat na gawaar guzri hai
Jis ki baton ke fasanay likhay Us ne to kuch nah kaha tha shayad
Laila majnu ka qissa koi sunta hi nahi Behas aalim ko faqat ya tum se hai ya ham se hai
Mein zayada hun bohat is ke liye ab tak bhi Aur mere liye wo sare ka sara kam hai
Khamshi Achi Nahi Inkar Hona Chahye Ye Tamasha Ab Sar-E Bazar Hona Chahye
Ab jo lehar hai pal bhar baad nahi hogi yani Ik darya mein doosri baar itra nahi ja sakta
Hashar mein kon gawahi meri day ga saghar Sab tumahray hi tarafdar nazar atay hain
Mujhy ik baat kehny do, mujhy tum se mohabbat hai Hamseha sath rehny do, mujhy tum se mohabbat hai
Kon si baat hai tum mein aisi Itnay achay kyun lagtay ho
Shaam bhi thi dhuwan dhuwan husn bhi tha udaas udaas Dil ko kayi kahaniyan yaad si aa ke reh gayeen
Kar raha tha gham jahan ka hisaab Aaj tum yaad be hisaab aaye
Yahan libaas ki qeemat hai aadmi ki nahi Mujhe glass baray day sharaab kam kar day
Ham safar chahye hajoom nahi Ik musafir bhi qafla hai mujhy
Pakrey jatay hain farishton ke likhy par na-haq Aadmi koi hamara dam-e tehreer bhi tha
Kab wo zahar ho ga aur heran kar de ga mujhe Jitni bhi mushkil mein hun aasan kar de ga mujh
Aankh rakhtay ho to is aankh ki tehreer parho Munh se iqraar nah karna to hai aadat is ki
Tujhe dushmanon ki khabar nah thi mujhe doston ka pata nahi Tri dastan koi aur thi mra waqea koi aur hai
Kitney lahjoon ke ghlafon mein chhupaao tujh ko Shehar walay mra mauzo sukhan jantay hain
Showing 100 of 853