The ghazal
Read it in Urdu script-
Patta patta boota boota haal hamara jaane hai Jaane na jaane gul hi na jaane baagh to saara jaane hai
-
Lagne na de bas ho to us ke gauhar-e-gosh ko baale tak Us ko falak chashm-e-mah-o-khur ki putli ka taara jaane hai
-
Aage us mutakabbir ke ham khuda khuda kiya karte hain Kab maujood khuda ko wo maghroor-e-khud-aara jaane hai
-
Aashiq sa to saada koi aur na hoga duniya mein Ji ke ziyan ko ishq mein us ke apna waara jaane hai
-
Charagari beemari-e-dil ki rasm-e-shahr-e-husn nahin Warna dilbar-e-nadan bhi is dard ka chara jaane hai
-
Kya hi shikar-farebi par maghroor hai wo sayyad bacha Taair urte hawa mein saare apne asara jaane hai
-
Mehr o wafa o lutf-o-inayat ek se waqif in mein nahin Aur to sab kuchh tanz o kinaya ramz o ishara jaane hai
-
Kya kya fitne sar par us ke laata hai mashooq apna Jis be-dil be-tab-o-tawan ko ishq ka maara jaane hai
-
Rakhnon se deewar-e-chaman ke munh ko le hai chhupa ya'ni In soorakhon ke tuk rahne ko sau ka nazara jaane hai
-
Tishna-e-khun hai apna kitna 'mir' bhi nadan talkhi-kash Dam-dar aab-e-tegh ko us ke aab-e-gawara jaane hai



