The ghazal
Read it in Urdu script-
Duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad Ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siwa yaad
-
Main shikva ba-lab tha mujhe ye bhi na raha yaad Shayad ki mire bhoolne waale ne kiya yaad
-
Chhera tha jise pahle-pahal teri nazar ne Ab tak hai wo ik naghma-e-be-saz-o-sada yaad
-
Jab koi haseen hota hai sargarm-e-nawazish Us waqt wo kuchh aur bhi aate hain siwa yaad
-
Kya janiye kya ho gaya arbab-e-junun ko Marne ki ada yaad na jeene ki ada yaad
-
Muddat hui ik hadsa-e-ishq ko lekin Ab tak hai tire dil ke dharakne ki sada yaad
-
Haan haan tujhe kya kaam miri shiddat-e-gham se Haan haan nahin mujh ko tire daman ki hawa yaad
-
Main tark-e-rah-o-rasm-e-junun kar hi chuka tha Kyun aa gai aise mein tiri laghzish-e-pa yaad
-
Kya lutf ki main apna pata aap bataun Keeje koi bhooli hui khaas apni ada yaad


